Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mashwara

kisī yaad satātī hai raat din tum ko

kisī ke pyaar se majbūr ho ga.ī ho tum

tumhārā dard mujhe bhī udaas rakhtā hai

qarīb aa ke bahut duur ho ga.ī ho tum

tumhārī āñhkeñ sadā sogvār rahtī haiñ

tumhāre hoñT taraste haiñ muskurāne ko

tumhārī ruuh ko tanhā.iyāñ atā kar ke

ye sochtī ho ki kyā mil gayā zamāne ko

gila karo na zamāne sard-mehrī

ki is ḳhatā meñ zamāne kuchh qusūr nahīñ

tumhāre dil ne use muntaḳhab kiyā ki jise

tumhāre ġham ko samajhne bhī shu.ūr nahīñ

tum us yaad bhulā do ki bevafā hai vo

har ek dil nahīñ hotā tumhāre dil tarah

tum apne pyaar ko rusvā karo na ro ro kar

tumhārā pyaar muqaddas hai bible tarah

ab us ke vāste ḳhud ko na yuuñ tabāh karo

ab imtihāñ tamannā se fā.eda kyā hai

vo āsmāñ ki jise tum na chhū sakogī kabhī

us āsmāñ tamannā se fā.eda kyā hai

kisi ki yaad satati hai raat din tum ko

kisi ke pyar se majbur ho gai ho tum

tumhaara dard mujhe bhi udas rakhta hai

qarib aa ke bahut dur ho gai ho tum

tumhaari aanhken sada sogwar rahti hain

tumhaare honT taraste hain muskurane ko

tumhaari ruh ko tanhaiyan ata kar ke

ye sochti ho ki kya mil gaya zamane ko

gila karo na zamane ki sard-mehri ka

ki is KHata mein zamane ka kuchh qusur nahin

tumhaare dil ne use muntaKHab kiya ki jise

tumhaare gham ko samajhne ka bhi shuur nahin

tum us ki yaad bhula do ki bewafa hai wo

har ek dil nahin hota tumhaare dil ki tarah

tum apne pyar ko ruswa karo na ro ro kar

tumhaara pyar muqaddas hai bible ki tarah

ab us ke waste KHud ko na yun tabah karo

ab imtihan ki tamanna se faeda kya hai

wo aasman ki jise tum na chhu sakogi kabhi

us aasman ki tamanna se faeda kya hai

Source :
  • Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 45)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now