Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisan

jhuTpuTe narm-rau dariyā shafaq iztirāb

khetiyāñ maidān ḳhāmoshī ġhurūb-e-āftāb

dasht ke kām-o-dahan ko din talḳhī se farāġh

duur dariyā ke kināre dhuñdle dhuñdle se charāġh

zer-e-lab arz o samā meñ bāhamī guft-o-shunūd

mish.al-e-gardūñ ke bujh jaane se ik halkā duud

vus.ateñ maidān sūraj ke chhup jaane se tañg

sabza-e-afsurda par ḳhvāb-āfrīñ halkā rañg

ḳhāmushī aur ḳhāmushī meñ sansanāhaT sadā

shaam ḳhunkī se goyā din garmī gilā

apne dāman ko barābar qat.a kartā huā

tīrgī meñ khetiyoñ ke darmiyāñ fāslā

ḳhār-o-ḳhas par ek dard-añgez afsāne shaan

bām-e-gardūñ par kisī ke ruuTh kar jaane shaan

duub ḳhushbū meñ shabnam namī se ik surūr

charḳh par bādal zamīñ par titliyāñ sar par tuyūr

paara paara abr surḳhī surḳhiyoñ meñ kuchh dhuāñ

bhūlī-bhaTkī zamīñ khoyā huā āsmāñ

pattiyāñ maḳhmūr kaliyāñ aañkh jhapkātī huī

narm-jāñ paudoñ ko goyā niiñd aatī huī

ye samāñ aur ik qavī insān ya.anī kāst-kār

irtiqā peshvā tahzīb parvardigār

jis ke māthe ke pasīne se pa.e-izz-o-vaqār

kartī hai daryūza-e-tābish kulāh-e-tājdār

sar-nigūñ rahtī haiñ jis se quvvateñ taḳhrīb

jis ke buute par lachaktī hai kamar tahzīb

jis mehnat se phabaktā hai tan-āsānī baaġh

jis zulmat hathelī par tamaddun charāġh

jis ke baazū salābat par nazākat madār

jis ke kas-bal par akaḌtā hai ġhurūr-e-shahryār

dhuup ke jhulse hue ruḳh par mashaqqat ke nishāñ

khet se phere hue muñh ghar jānib hai ravāñ

Tokrā sar par baġhal meñ phāoḌā tevrī pe bal

sāmne bailoñ joḌī dosh par mazbūt hal

kaun hal zulmat-shikan qindīl-e-bazm-e-āb-o-gil

qasr-e-gulshan darīcha sīna-e-gītī dil

ḳhushnumā shahroñ baanī rāz-e-fitrat surāġh

ḳhāndān-e-teġh-e-jauhar-dār chashm-o-charāg

dhaar par jis chaman-parvar shagūfoñ nizām

shām-e-zer-e-arz ko sub.h-e-daraḳhshāñ payām

Dūbtā hai ḳhaak meñ jo ruuh dauḌātā huā

muzmahil zarroñ mausīqī ko chauñkātā huā

jis ke chhū jaate misl-e-nāznīn-e-mah-jabīñ

karvaToñ par karvaTeñ letī hai lailā-e-zamīñ

parda-hā-e-ḳhvāb ho jaate haiñ jis se chaak chaak

muskurā kar apnī chādar ko haTā detī hai ḳhaak

jis tābish meñ daraḳhshānī hilāl-e-īd

ḳhaak ke māyūs matl.a par kiran ummīd

tifl-e-bārāñ tājdār-e-ḳhāk amīr-e-bostāñ

māhir-e-ā.īn-e-qudarat nāzim-e-bazm-e-jahāñ

nāzir-e-gul pāsbān-e-rañg-o-bū gulshan-panāh

nāz-parvar lahlahātī khetiyoñ bādshāh

vāris-e-asrār-e-fitrat fāteh-e-ummīd-o-bīm

mahram-e-āsār-e-bārāñ vāqif-e-tab.a-e-nasīm

sub.h farzand ḳhurshīd-e-zar-afshāñ alam

mehnat-e-paiham paimāñ saḳht-koshī qasam

jalva-e-qudrat shāhid husn-e-fitrat gavāh

maah dil mehr-e-ālam-tāb nūr-e-nigāh

qalb par jis ke numāyāñ nuur o zulmat nizām

munkashif jis farāsat par mizāj-e-sub.h-o-shām

ḳhuun hai jis javānī bahār-e-rozgār

jis ke ashkoñ par farāġhat ke tabassum madār

jis mehnat araq tayyār kartā hai sharāb

uḌ ke jis rañg bin jaatā hai jāñ-parvar gulāb

qalb-e-āhan jis ke naqsh-e-pā se hotā hai raqīq

sho.ala-ḳhū jhoñkoñ hamdam tez kirnoñ rafīq

ḳhuun jis bijliyoñ anjuman meñ bāryāb

jis ke sar par jagmagātī hai kulāh-e-āftāb

lahar khātā hai rag-e-ḳhāshāk meñ jis lahū

jis ke dil aañch ban jaatī hai sail-e-rañg-o-bū

dauḌtī hai raat ko jis nazar aflāk par

din ko jis uñgliyāñ rahtī haiñ nabz-e-ḳhāk par

jis jāñkāhī se Tapkātī hai amrit nabz-e-tāk

jis ke dam se lāla-o-gul ban ke itrātī hai ḳhaak

sāz-e-daulat ko atā kartī hai naġhme jis aah

māñgtā hai bhiik tābānī jis se rū-e-shāh

ḳhuun jis dauḌtā hai nabz-e-istiqlāl meñ

loch bhar detā hai jo shahzādiyoñ chaal meñ

jis mas ḳhāshāk meñ bantā hai ik chādar mahīn

jis lohā maan kar sonā ugaltī hai zamīn

hal pe dahqāñ ke chamaktī haiñ shafaq surḳhiyāñ

aur dahqāñ sar jhukā.e ghar jānib hai ravāñ

us siyāsī rath ke pahiyoñ par jamā.e hai nazar

jis meñ aa jaatī hai tezī khetiyoñ ko rauñd kar

apnī daulat ko jigar par tīr-e-ġham khāte hue

dekhtā hai mulk-e-dushman taraf jaate hue

qat.a hotī nahīñ tārīki-e-hirmāñ se raah

fāqa-kash bachchoñ ke dhuñdle āñsuoñ par hai nigāh

sochtā jaatā hai kin āñkhoñ se dekhā jā.egā

be-ridā biivī sar bachchoñ muñh utrā huā

sīm-o-zar nān-o-namak āb-o-ġhizā kuchh bhī nahīñ

ghar meñ ik ḳhāmosh mātam ke sivā kuchh bhī nahīñ

ek dil aur ye hujūm-e-sogvārī haa.e haa.e

ye sitam ai sañg-dil sarmāya-dārī haa.e haa.e

terī āñkhoñ meñ haiñ ġhaltāñ vo shaqāvat ke sharār

jin ke aage ḳhanjar-e-chañgez muḌtī hai dhaar

bekasoñ ke ḳhuun meñ Duube hue haiñ tere haat

kyā chabā Dālegī o kambaḳht saarī kā.enāt

zulm aur itnā koī had bhī hai is tūfān

boTiyāñ haiñ tere jabḌoñ meñ ġharīb insān

dekh kar tere sitam ai hāmi-e-amn-o-amāñ

gurg rah jaate haiñ dāñtoñ meñ dabā kar uñgliyāñ

iddi.ā-e-pairvi-e-dīn-o-īmāñ aur

dekh apnī kuhniyāñ jin se Tapaktā hai lahū

haañ sambhal ab ki zahr-e-ahl-e-dil ke aab haiñ

kitne tūfān terī kashtī ke liye be-tāb haiñ

jhuTpuTe ka narm-rau dariya shafaq ka iztirab

khetiyan maidan KHamoshi ghurub-e-aftab

dasht ke kaam-o-dahan ko din ki talKHi se faragh

dur dariya ke kinare dhundle dhundle se charagh

zer-e-lab arz o sama mein bahami guft-o-shunud

mishal-e-gardun ke bujh jaane se ek halka sa dud

wusaten maidan ki suraj ke chhup jaane se tang

sabza-e-afsurda par KHwab-afrin halka sa rang

KHamushi aur KHamushi mein sansanahaT ki sada

sham ki KHunki se goya din ki garmi ka gila

apne daman ko barabar qata sa karta hua

tirgi mein khetiyon ke darmiyan ka fasla

KHar-o-KHas par ek dard-angez afsane ki shan

baam-e-gardun par kisi ke ruTh kar jaane ki shan

dub ki KHushbu mein shabnam ki nami se ek surur

charKH par baadal zamin par titliyan sar par tuyur

para para abr surKHi surKHiyon mein kuchh dhuan

bhuli-bhaTki si zamin khoya hua sa aasman

pattiyan maKHmur kaliyan aankh jhapkati hui

narm-jaan paudon ko goya nind si aati hui

ye saman aur ek qawi insan yani kast-kar

irtiqa ka peshwa tahzib ka parwardigar

jis ke mathe ke pasine se pae-izz-o-waqar

karti hai daryuza-e-tabish kulah-e-tajdar

sar-nigun rahti hain jis se quwwaten taKHrib ki

jis ke bute par lachakti hai kamar tahzib ki

jis ki mehnat se phabakta hai tan-asani ka bagh

jis ki zulmat ki hatheli par tamaddun ka charagh

jis ke bazu ki salabat par nazakat ka madar

jis ke kas-bal par akaDta hai ghurur-e-shahryar

dhup ke jhulse hue ruKH par mashaqqat ke nishan

khet se phere hue munh ghar ki jaanib hai rawan

Tokra sar par baghal mein phaoDa tewri pe bal

samne bailon ki joDi dosh par mazbut hal

kaun hal zulmat-shikan qindil-e-bazm-e-ab-o-gil

qasr-e-gulshan ka daricha sina-e-giti ka dil

KHushnuma shahron ka bani raaz-e-fitrat ka suragh

KHandan-e-tegh-e-jauhar-dar ka chashm-o-charag

dhaar par jis ki chaman-parwar shagufon ka nizam

sham-e-zer-e-arz ko subh-e-daraKHshan ka payam

Dubta hai KHak mein jo ruh dauData hua

muzmahil zarron ki mausiqi ko chaunkata hua

jis ke chhu jate hi misl-e-naznin-e-mah-jabin

karwaTon par karwaTen leti hai laila-e-zamin

parda-ha-e-KHwab ho jate hain jis se chaak chaak

muskura kar apni chadar ko haTa deti hai KHak

jis ki tabish mein daraKHshani hilal-e-id ki

KHak ke mayus matla par kiran ummid ki

tifl-e-baran tajdar-e-KHak amir-e-bostan

mahir-e-ain-e-qudarat nazim-e-bazm-e-jahan

nazir-e-gul pasban-e-rang-o-bu gulshan-panah

naz-parwar lahlahati khetiyon ka baadshah

waris-e-asrar-e-fitrat fateh-e-ummid-o-bim

mahram-e-asar-e-baran waqif-e-taba-e-nasim

subh ka farzand KHurshid-e-zar-afshan ka alam

mehnat-e-paiham ka paiman saKHt-koshi ki qasam

jalwa-e-qudrat ka shahid husn-e-fitrat ka gawah

mah ka dil mehr-e-alam-tab ka nur-e-nigah

qalb par jis ke numayan nur o zulmat ka nizam

munkashif jis ki farasat par mizaj-e-subh-o-sham

KHun hai jis ki jawani ka bahaar-e-rozgar

jis ke ashkon par faraghat ke tabassum ka madar

jis ki mehnat ka araq tayyar karta hai sharab

uD ke jis ka rang bin jata hai jaan-parwar gulab

qalb-e-ahan jis ke naqsh-e-pa se hota hai raqiq

shoala-KHu jhonkon ka hamdam tez kirnon ka rafiq

KHun jis ka bijliyon ki anjuman mein baryab

jis ke sar par jagmagati hai kulah-e-aftab

lahar khata hai rag-e-KHashak mein jis ka lahu

jis ke dil ki aanch ban jati hai sail-e-rang-o-bu

dauDti hai raat ko jis ki nazar aflak par

din ko jis ki ungliyan rahti hain nabz-e-KHak par

jis ki jaankahi se Tapkati hai amrit nabz-e-tak

jis ke dam se lala-o-gul ban ke itraati hai KHak

saz-e-daulat ko ata karti hai naghme jis ki aah

mangta hai bhik tabani ki jis se ru-e-shah

KHun jis ka dauDta hai nabz-e-istiqlal mein

loch bhar deta hai jo shahzadiyon ki chaal mein

jis ka mas KHashak mein banta hai ek chadar mahin

jis ka loha man kar sona ugalti hai zamin

hal pe dahqan ke chamakti hain shafaq ki surKHiyan

aur dahqan sar jhukae ghar ki jaanib hai rawan

us siyasi rath ke pahiyon par jamae hai nazar

jis mein aa jati hai tezi khetiyon ko raund kar

apni daulat ko jigar par tir-e-gham khate hue

dekhta hai mulk-e-dushman ki taraf jate hue

qata hoti hi nahin tariki-e-hirman se rah

faqa-kash bachchon ke dhundle aansuon par hai nigah

sochta jata hai kin aankhon se dekha jaega

be-rida biwi ka sar bachchon ka munh utra hua

sim-o-zar nan-o-namak aab-o-ghiza kuchh bhi nahin

ghar mein ek KHamosh matam ke siwa kuchh bhi nahin

ek dil aur ye hujum-e-sogwari hae hae

ye sitam ai sang-dil sarmaya-dari hae hae

teri aankhon mein hain ghaltan wo shaqawat ke sharar

jin ke aage KHanjar-e-changez ki muDti hai dhaar

bekason ke KHun mein Dube hue hain tere hat

kya chaba Dalegi o kambaKHt sari kaenat

zulm aur itna koi had bhi hai is tufan ki

boTiyan hain tere jabDon mein gharib insan ki

dekh kar tere sitam ai hami-e-amn-o-aman

gurg rah jate hain danton mein daba kar ungliyan

iddia-e-pairwi-e-din-o-iman aur tu

dekh apni kuhniyan jin se Tapakta hai lahu

han sambhal ja ab ki zahr-e-ahl-e-dil ke aab hain

kitne tufan teri kashti ke liye be-tab hain

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kisan Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now