Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazdur

gard chehre par pasīne meñ jabīñ Duubī huī

āñsuoñ meñ kuhniyoñ tak āstīñ Duubī huī

piiTh par nāqābil-e-bardāsht ik bār-e-garāñ

zo.af se larzī huī saare badan jhurriyāñ

haDDiyoñ meñ tez chalne se chaTaḳhne sadā

dard meñ Duubī huī majrūh Taḳhne sadā

paañv miTTī tahoñ meñ mel se chikTe hue

ek badbū-dār mailā chīthaḌā bāñdhe hue

rahā hai jānvar tarah ghabrātā huā

hāñptā girtā laraztā Thokareñ khātā huā

muzmahil vāmāñdgī se aur fāqoñ se niDhāl

chaar paise tavaqqo.a saare kumbe ḳhayāl

apne ham-jinsoñ be-mehrī se māyūs-o-malūl

safha-e-hastī par ik satr-e-ġhalat harf-e-fuzūl

apnī ḳhilqat ko gunāhoñ sazā samjhe hue

aadmī hone ko la.anat aur balā samjhe hue

zindagī ko nāgavār ik sāneha jaane hue

bazm-e-kibr-o-nāz meñ farz apnā pahchāne hue

rāste meñ rāhgīroñ nazar se be-niyāz

shorish-e-mātam se naġhmoñ ke asar se be-niyāz

us ke dil tak zindagī raushnī jaatī nahīñ

bhuul kar bhī us ke hoñToñ par hañsī aatī nahīñ

ek lamha bhī nahīñ fikr-e-ma.īshat se najāt

sub.h ho shaam hai tārīk us kā.enāt

dekh ai qārūn-e-āzam dekh ai sarmāya-dār

nā-murādī muraqqa.a be-kasī shāhkār

go hai terī tarah insāñ magar maqhūr hai

dekh ai daulat ke andhe saañp ye mazdūr hai

gard chehre par pasine mein jabin Dubi hui

aansuon mein kuhniyon tak aastin Dubi hui

piTh par naqabil-e-bardasht ek bar-e-garan

zoaf se larzi hui sare badan ki jhurriyan

haDDiyon mein tez chalne se chaTaKHne ki sada

dard mein Dubi hui majruh TaKHne ki sada

panw miTTi ki tahon mein mel se chikTe hue

ek badbu-dar maila chithaDa bandhe hue

ja raha hai jaanwar ki tarah ghabraata hua

hanpta girta larazta Thokaren khata hua

muzmahil wamandgi se aur faqon se niDhaal

chaar paise ki tawaqqoa sare kumbe ka KHayal

apne ham-jinson ki be-mehri se mayus-o-malul

safha-e-hasti par ek satr-e-ghalat harf-e-fuzul

apni KHilqat ko gunahon ki saza samjhe hue

aadmi hone ko lanat aur bala samjhe hue

zindagi ko nagawar ek saneha jaane hue

bazm-e-kibr-o-naz mein farz apna pahchane hue

raste mein rahgiron ki nazar se be-niyaz

shorish-e-matam se naghmon ke asar se be-niyaz

us ke dil tak zindagi ki raushni jati nahin

bhul kar bhi us ke honTon par hansi aati nahin

ek lamha bhi nahin fikr-e-maishat se najat

subh ho ya sham hai tarik us ki kaenat

dekh ai qarun-e-azam dekh ai sarmaya-dar

na-muradi ka muraqqa be-kasi ka shahkar

go hai teri hi tarah insan magar maqhur hai

dekh ai daulat ke andhe sanp ye mazdur hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now