Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazdur ki bansuri

Jameel Mazhari

mazdur ki bansuri

Jameel Mazhari

mazdūr haiñ ham, mazdūr haiñ ham, majbūr the ham, majbūr haiñ ham

insāniyat ke siine meñ ristā huā ik nāsūr haiñ ham

daulat āñkhoñ surma bantā hai hamārī haDDī se

mandir ke diye bhī jalte haiñ mazdūr pighlī charbī se

ham se bāzār raunaq hai, ham se chehroñ laalī hai

jaltā hai hamāre dil diyā duniyā sabhā ujyālī hai

daulat sevā karte haiñ Thukrā.e hue ham daulat ke

mazdūr haiñ ham, mazdūr haiñ ham sautele beTe qismat ke

sone chaTā.ī tak bhī nahīñ, ham zaat ke itne heTe haiñ

ye sejoñ par sone vaale shāyad bhagvān ke beTe haiñ

ham meñ nahīñ koī tabdīlī jaaḌe paalī rātoñ meñ

baisākh ke tapte mausam meñ, sāvan bharī barsātoñ meñ

kapḌe zarūrat kyā hai mazdūroñ ko, haivānoñ ko

kyā bahs hai, sardī garmī se lohe ke bane insānoñ ko

hone do charāġhāñ mahloñ meñ, kyā ham ko agar dīvālī hai

mazdūr haiñ ham, mazdūr haiñ ham, mazdūr duniyā kaalī hai

mazdūr ke bachche takte haiñ jab hasrat se dūkānoñ ko

mazdūr dil detā hai duā devtāoñ ko, bhagvānoñ ko

khāyā miTTī ke bartan meñ, so.e to bichhaune ko tarse

muḳhtāroñ par tanqīdeñ haiñ, be-chārgiyāñ majbūroñ

sūkhā chehra dahqānoñ kaa, zaḳhmī pīTheñ mazdūroñ

vo bhūkoñ ke an-dātā haiñ, haq un hai be-dād kareñ

ham kis darvāze par jaa.eñ kis se kar fariyād kareñ

bāzār-e-tamaddun bhī un duniyā-e-siyāsat bhī un

maz.hab irāda bhī un kaa, duniyā-e-siyāsat bhī un

pāband hameñ karne ke liye sau rāheñ nikālī jaatī haiñ

qānūn banā.e jaate haiñ, zanjīreñ Dhālī jaatī haiñ

phir bhī āġhāz shoḳhī meñ anjām dikhā.ī detā hai

ham chup haiñ lekin fitrat insāf duhā.ī detā hai

uTh baiThe añgḌā.ī le kar jo ġhaflat matvālā hai

ākāsh ke tevar kahte haiñ, tūfān phir aane vaalā hai

ik abr TukḌā aatā hai, ik abr TukḌā jaatā hai

ḳhvāb-e-pareshāñ duniyā bālā-e-fazā mañDlātā hai

chaltī hai zamāne meñ āñdhī shā.er ke tund ḳhayāloñ

is tez havā meñ ḳhair nahīñ hai ūñchī pagḌī vāloñ

ehsās-e-ḳhudī mazlūmoñ ab chauñk ke karvaT letā hai

jo vaqt ki aane vaalā hai dil us aahaT letā hai

tūfāñ lahreñ jaag uThīñ so kar apne gahvāre se

kuchh tinke shoḳhī karte haiñ sailāb ke sarkash dhāre se

mindīl saroñ se girtī hai aur paañv se roñdī jaatī hai

siine meñ ghaTāoñ bijlī, bechain hai kaundī jaatī hai

manzar kudūrat dho degī dhartī pyaas bujhā.egī

mausam ke ishāre kahte haiñ ye badlī kuchh barsā.egī

ye abr jo ghir kar aatā hai, gar aaj nahīñ kal barsegā

sab khet hare ho jā.eñge jab TuuT ke bādal barsegā

mazdur hain ham, mazdur hain ham, majbur the ham, majbur hain hum

insaniyat ke sine mein rista hua ek nasur hain hum

daulat ki aankhon ka surma banta hai hamari haDDi se

mandir ke diye bhi jalte hain mazdur ki pighli charbi se

hum se bazar ki raunaq hai, hum se chehron ki lali hai

jalta hai hamare dil ka diya duniya ki sabha ujyali hai

daulat ki sewa karte hain Thukrae hue hum daulat ke

mazdur hain ham, mazdur hain hum sautele beTe qismat ke

sone ki chaTai tak bhi nahin, hum zat ke itne heTe hain

ye sejon par sone wale shayad bhagwan ke beTe hain

hum mein nahin koi tabdili jaDe ki pali raaton mein

baisakh ke tapte mausam mein, sawan ki bhari barsaton mein

kapDe ki zarurat hi kya hai mazduron ko, haiwanon ko

kya bahs hai, sardi garmi se lohe ke bane insanon ko

hone do charaghan mahlon mein, kya hum ko agar diwali hai

mazdur hain ham, mazdur hain ham, mazdur ki duniya kali hai

mazdur ke bachche takte hain jab hasrat se dukanon ko

mazdur ka dil deta hai dua dewtaon ko, bhagwanon ko

khaya miTTi ke bartan mein, soe to bichhaune ko tarse

muKHtaron par tanqiden hain, be-chaargiyan majburon ki

sukha chehra dahqanon ka, zaKHmi piThen mazduron ki

wo bhukon ke an-data hain, haq un ka hai be-dad karen

hum kis darwaze par jaen kis se ja kar fariyaad karen

bazar-e-tamaddun bhi un ka duniya-e-siyasat bhi un ki

mazhab ka irada bhi un ka, duniya-e-siyasat bhi un ki

paband hamein karne ke liye sau rahen nikali jati hain

qanun banae jate hain, zanjiren Dhaali jati hain

phir bhi aaghaz ki shoKHi mein anjam dikhai deta hai

hum chup hain lekin fitrat ka insaf duhai deta hai

uTh baiThe angDai le kar jo ghaflat ka matwala hai

aakash ke tewar kahte hain, tufan phir aane wala hai

ek abr ka TukDa aata hai, ek abr ka TukDa jata hai

ya KHwab-e-pareshan duniya ka baala-e-faza manDlata hai

chalti hai zamane mein aandhi shaer ke tund KHayalon ki

is tez hawa mein KHair nahin hai unchi pagDi walon ki

ehsas-e-KHudi mazlumon ka ab chaunk ke karwaT leta hai

jo waqt ki aane wala hai dil us ki aahaT leta hai

tufan ki lahren jag uThin so kar apne gahware se

kuchh tinke shoKHi karte hain sailab ke sarkash dhaare se

mindil saron se girti hai aur panw se rondi jati hai

sine mein ghaTaon ki bijli, bechain hai kaundi jati hai

manzar ki kudurat dho degi dharti ki pyas bujhaegi

mausam ke ishaare kahte hain ye badli kuchh barsaegi

ye abr jo ghir kar aata hai, gar aaj nahin kal barsega

sab khet hare ho jaenge jab TuT ke baadal barsega

related content

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now