aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarana-e-yaum-e-mazdur

Anwar Abbas

tarana-e-yaum-e-mazdur

Anwar Abbas

MORE BYAnwar Abbas

    jise bhuuk aag garmā rahī hai

    vo chūlhoñ ḳhālī patīlī naġhma

    parosegā na.aroñ thālī sajā kar

    ye din bhuuk ke taish khāne din hai

    sunāmī hai aur na bhūchāl hai

    na kashmīr hai na bangāl hai

    jis āvāz par jaag uTThegī mamtā

    vo kangāl bachchoñ ke kankāl hai

    us āvāz ko gungunāne din hai

    baḌe inqilābī haiñ muflis ke tevar

    zamāne ayyāshiyoñ ko batā do

    chalo niilī rātoñ chup bastiyoñ ko

    saveroñ ke qadmoñ aahaT sunā do

    mahal se nikaltā nahīñ hai jo sūraj

    saḌak par use khīñch laane din hai

    jalā Daalo va.adoñ jhūTī kitābeñ

    ġhalat likhne vaalā qalam toḌ Daalo

    bajā do takabbur īñToñ se īñTeñ

    dar-o-bām-e-jāh-o-hasham toḌ Daalo

    pahāḌoñ meñ rasta banāne din hai

    ye din bhuuk ke taish khāne din hai

    jise bhuk ki aag garma rahi hai

    wo chulhon ki KHali patili ka naghma

    parosega naron ki thaali saja kar

    ye din bhuk ke taish khane ka din hai

    sunami ki hai aur na bhuchaal ki hai

    na kashmir ki hai na bangal ki hai

    jis aawaz par jag uTThegi mamta

    wo kangal bachchon ke kankal ki hai

    us aawaz ko gungunane ka din hai

    baDe inqilabi hain muflis ke tewar

    zamane ki ayyashiyon ko bata do

    chalo nili raaton ki chup bastiyon ko

    saweron ke qadmon ki aahaT suna do

    mahal se nikalta nahin hai jo suraj

    saDak par use khinch lane ka din hai

    jala Dalo wadon ki jhuTi kitaben

    ghalat likhne wala qalam toD Dalo

    baja do takabbur ki inTon se inTen

    dar-o-baam-e-jah-o-hasham toD Dalo

    pahaDon mein rasta banane ka din hai

    ye din bhuk ke taish khane ka din hai

    Source:

    Nazm-o-Razm (Pg. 58)

    • Author: Anwar Abbas
      • Publisher: Anjuman Fikr-o-Nazar, Allahabad
      • Year of Publication: 2011

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now