Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yakum may

ye may pahlī, din hai banda-e-mazdūr

muddatoñ ke ba.ad dekhā is ne jalva huur

ye jo rishta-dār thā ham sab lekin duur

mill ke mālik ne ise rutba diyā mansūr

jab lagāyā haq na.ara daar par khīñchā gayā

naḳhl-e-san.at is ke ḳhuuñ dhaar par sīñchā gayā

aaj labour-union meñ shādmānī aa.ī hai

aaj mazdūroñ ko yaad apnī javānī aa.ī hai

mil ke mālik ko magar yaad apnī naanī aa.ī hai

ilāhī kyā balā-e-āsmānī aa.ī hai

sunte haiñ mazdūr se mālik mohra piT gayā

''ek harf-e-vafā likkhā thā vo bhī miT gayā''

hotā hai 'may-day' aur 'may-poll' jab intizām

nāchte haiñ baañs ke gird aa ke europī avaam

lekin ab nāchegā vo zālim ki jo hai bad-lagām

baañs ke bal par dikhā.e jaise bandar apnā kaam

vo jo pahle thā kabhī bandar madārī ban gayā

ya.anī mazdūr afsar-e-sarmāya-kārī ban gayā

ba.az aise the jo sarmā.e ke Thekedār the

kahte the mazdūr ko ḳhar aur ḳhud ḳhar-kār the

chor-bāzārī jaḌ the aur baḌe baT-mār the

naf.a-ḳhorī ke sivā har kaam se bezār the

ab halaq meñ un ke jo khāyā aTak kar jā.egā

ġhair-mulkoñ meñ na sarmāya bhaTak kar jā.egā

pūchho in sarmāya-dāroñ se ki kab jāgoge tum

yūñhī piite rahoge be-muravvat mai ke ḳhum

dekho har saal aa.egī māh-e-may ye yakum

sunte haiñ sīdhī nahīñ hotī kabhī kutte dum

tum magar rakhte ho ek insān nok aur palak

''be-niyāzī had se guzrī banda-parvar kab talak''

qābil-e-izzat haiñ is duniyā ke mehnat-kash avaam

mulk daulat haiñ ye, vājib hai in ehtirām

us ke ye member haiñ labour-union hai jis naam

in mehnat ke diye jā.eñge in ko puure daam

ye nahīñ hogā ḳhafā ho kar dihāḌī kaaT

aadhe raste laa.e aur engine se gaaḌī kaaT

ye may ki pahli, din hai banda-e-mazdur ka

muddaton ke baad dekha is ne jalwa hur ka

ye jo rishta-dar tha hum sab ka lekin dur ka

mill ke malik ne ise rutba diya mansur ka

jab lagaya haq ka nara dar par khincha gaya

naKHl-e-sanat is ke KHun ki dhaar par sincha gaya

aaj labour-union mein shadmani aai hai

aaj mazduron ko yaad apni jawani aai hai

mil ke malik ko magar yaad apni nani aai hai

ya ilahi kya bala-e-asmani aai hai

sunte hain mazdur se malik ka mohra piT gaya

ek ja harf-e-wafa likkha tha wo bhi miT gaya

hota hai 'may-day' ka aur 'may-poll' ka jab intizam

nachte hain bans ke gird aa ke europi awam

lekin ab nachega wo zalim ki jo hai bad-lagam

bans ke bal par dikhae jaise bandar apna kaam

wo jo pahle tha kabhi bandar madari ban gaya

yani mazdur afsar-e-sarmaya-kari ban gaya

baz aise the jo sarmae ke Thekedar the

kahte the mazdur ko KHar aur KHud KHar-kar the

chor-bazari ki jaD the aur baDe baT-mar the

nafa-KHori ke siwa har kaam se bezar the

ab halaq mein un ke jo khaya aTak kar jaega

ghair-mulkon mein na sarmaya bhaTak kar jaega

puchho in sarmaya-daron se ki kab jagoge tum

ya yunhi pite rahoge be-murawwat mai ke KHum

dekho har sal aaegi mah-e-may ki ye yakum

sunte hain sidhi nahin hoti kabhi kutte ki dum

tum magar rakhte ho ek insan ki nok aur palak

be-niyazi had se guzri banda-parwar kab talak

qabil-e-izzat hain is duniya ke mehnat-kash awam

mulk ki daulat hain ye, wajib hai in ka ehtiram

us ke ye member hain labour-union hai jis ka nam

in ki mehnat ke diye jaenge in ko pure dam

ye nahin hoga KHafa ho kar dihaDi kaT di

aadhe raste lae aur engine se gaDi kaT di

Source :
  • Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 166)
  • Author : sayed Zameer jafary
  • Publication : dost publications (2007)
  • Edition : 2007

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now