Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup-chap guzar jao

Abbas Athar

chup-chap guzar jao

Abbas Athar

yahāñ horn bajāne ijāzat nahīñ

aur maiñ ne tamannā bharam khol diyā hai ki samundar havā

siine se Takrā.e to parda na rahe

us mahak sar pe kafan bāñdh ke niklī hai

har ik rāste har moḌ pe āvāz lagātī hai

magar koī nahīñ ruktā basant aa.ī hai

sab bhaag rahe haiñ koī āvāz nahīñ detā

koī muḌ ke nahīñ dekhtā

petrol lahū aur havā dast-o-garebāñ haiñ

jidhar dekho patañgeñ patañgeñ haiñ

zamīnoñ pe utarne ke liye Doltī par taultī

bal khātī huī

subah ko kaTtī haiñ magar shaam ko saḌkoñ pe utartī haiñ

to vo kaun hai jo

āñkhoñ ke saa.e se gurezāñ haiñ

magar sub.h sub.h chupke se sau sīḌhiyāñ

chaḌh jaatā hai thaktā nahīñ

aur na.ī aag dahaktī hai

na.e rañge hue kāġhazoñ se hashr chamak uThtā hai

sab aurteñ aur mard javāñ laḌkiyāñ aur laḌke

na.ī Texiyāñ aur motareñ aur rikshe

unheñ lūTne nikle haiñ basant aa.ī hai

aa jaao yahāñ luuT machī hai aao

dar-o-dīvār ko hasrat nazar dekhnā mat bhūlnā

ik dūsre ko rauñdte

ik dūsre ko ḳhuun meñ bhīge hue

sar pīTte aur chīḳhte chillāte sabhī bhaag rahe haiñ

koī āvāz nahīñ detā

yahāñ maaoñ aur bahnoñ se aur bīviyoñ se

āḳhirī bosoñ ijāzat hai

magar horn bajāne ijāzat nahīñ

yahan horn bajaane ki ijazat nahin

aur main ne tamanna ka bharam khol diya hai ki samundar ki hawa

sine se Takrae to parda na rahe

us ki mahak sar pe kafan bandh ke nikli hai

har ek raste har moD pe aawaz lagati hai

magar koi nahin rukta basant aai hai

sab bhag rahe hain koi aawaz nahin deta

koi muD ke nahin dekhta

petrol lahu aur hawa dast-o-gareban hain

jidhar dekho patangen hi patangen hain

zaminon pe utarne ke liye Dolti par taulti

bal khati hui

subah ko kaTti hain magar sham ko saDkon pe utarti hain

to wo kaun hai jo

aankhon ke sae se gurezan hain

magar subh hi subh chupke se sau siDhiyan

chaDh jata hai thakta hi nahin

aur nai aag dahakti hai

nae range hue kaghazon se hashr chamak uThta hai

sab aurten aur mard jawan laDkiyan aur laDke

nai Texiyan aur motaren aur rikshe

unhen luTne nikle hain basant aai hai

aa jao yahan luT machi hai aao

dar-o-diwar ko hasrat ki nazar dekhna mat bhulna

ek dusre ko raundte

ek dusre ko KHun mein bhige hue

sar piTte aur chiKHte chillate sabhi bhag rahe hain

koi aawaz nahin deta

yahan maon aur bahnon se aur biwiyon se

aaKHiri boson ki ijazat hai

magar horn bajaane ki ijazat nahin

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now