mirza ghaalib
Interesting Fact
From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
fikr-e-insāñ par tirī hastī se ye raushan huā
hai par-e-murġh-e-taḳhayyul kī rasā.ī tā-kujā
thā sarāpā ruuh tū bazm-e-suḳhan paikar tirā
zeb-e-mahfil bhī rahā mahfil se pinhāñ bhī rahā
diid terī aañkh ko us husn kī manzūr hai
ban ke soz-e-zindagī har shai meñ jo mastūr hai
mahfil-e-hastī tirī barbat se hai sarmāya-dār
jis tarah naddī ke naġhmoñ se sukūt-e-kohsār
tere firdaus-e-taḳhayyul se hai qudrat kī bahār
terī kisht-e-fikr se ugte haiñ aalam sabza-vār
zindagī muzmar hai terī shoḳhi-e-tahrīr meñ
tāb-e-goyā.ī se jumbish hai lab-e-tasvīr meñ
nutq ko sau naaz haiñ tere lab-e-ejāz par
mahv-e-hairat hai surayyā rif.at-e-parvāz par
shāhid-e-mazmūñ tasadduq hai tire andāz par
ḳhanda-zan hai ġhuncha-e-dillī gul-e-shīrāz par
aah tū ujḌī huī dillī meñ ārāmīda hai
gulshan-e-vīmar meñ terā ham-navā ḳhvābīda hai
lutf-e-goyā.ī meñ terī ham-sarī mumkin nahīñ
ho taḳhayyul kā na jab tak fikr-e-kāmil ham-nashīñ
haa.e ab kyā ho ga.ī hindostāñ kī sar-zamīñ
aah ai nazzāra-āmoz-e-nigāh-e-nukta-bīñ
gesu-e-urdū abhī minnat-pazīr-e-shāna hai
sham.a ye saudā.i-e-dil-sozi-e-parvāna hai
ai jahānābād ai gahvāra-e-ilm-o-hunar
haiñ sarāpā nāla-e-ḳhāmosh tere baam dar
zarre zarre meñ tire ḳhvābīda haiñ shams o qamar
yuuñ to poshīda haiñ terī ḳhaak meñ lākhoñ guhar
dafn tujh meñ koī faḳhr-e-rozgār aisā bhī hai
tujh meñ pinhāñ koī motī ābdār aisā bhī hai
fikr-e-insan par teri hasti se ye raushan hua
hai par-e-murgh-e-taKHayyul ki rasai ta-kuja
tha sarapa ruh tu bazm-e-suKHan paikar tera
zeb-e-mahfil bhi raha mahfil se pinhan bhi raha
did teri aankh ko us husn ki manzur hai
ban ke soz-e-zindagi har shai mein jo mastur hai
mahfil-e-hasti teri barbat se hai sarmaya-dar
jis tarah naddi ke naghmon se sukut-e-kohsar
tere firdaus-e-taKHayyul se hai qudrat ki bahaar
teri kisht-e-fikr se ugte hain aalam sabza-war
zindagi muzmar hai teri shoKHi-e-tahrir mein
tab-e-goyai se jumbish hai lab-e-taswir mein
nutq ko sau naz hain tere lab-e-ejaz par
mahw-e-hairat hai surayya rifat-e-parwaz par
shahid-e-mazmun tasadduq hai tere andaz par
KHanda-zan hai ghuncha-e-dilli gul-e-shiraaz par
aah tu ujDi hui dilli mein aaramida hai
gulshan-e-wimar mein tera ham-nawa KHwabida hai
lutf-e-goyai mein teri ham-sari mumkin nahin
ho taKHayyul ka na jab tak fikr-e-kaamil ham-nashin
hae ab kya ho gai hindostan ki sar-zamin
aah ai nazzara-amoz-e-nigah-e-nukta-bin
gesu-e-urdu abhi minnat-pazir-e-shana hai
shama ye saudai-e-dil-sozi-e-parwana hai
ai jahanabaad ai gahwara-e-ilm-o-hunar
hain sarapa nala-e-KHamosh tere baam dar
zarre zarre mein tere KHwabida hain shams o qamar
yun to poshida hain teri KHak mein lakhon guhar
dafn tujh mein koi faKHr-e-rozgar aisa bhi hai
tujh mein pinhan koi moti aabdar aisa bhi hai
- Book : کلیات اقبال (Pg. 26)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.