Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charaghan

Kaifi Azmi

charaghan

Kaifi Azmi

ek do nahīñ chhabbīs diye

ek ik kar ke jalā.e maiñ ne

ek diyā naam āzādī ke

us ne jalte hue hoñToñ se kahā

chāhe jis mulk se gehūñ māñgo

haath phailāne āzādī hai

ik diyā naam ḳhush-hālī ke

us ke jalte ye ma.alūm huā

kitnī bad-halī hai

peT ḳhālī hai mirā jeb mirī ḳhālī hai

ik diyā naam yak-jehtī ke

raushnī us jahāñ tak pahuñchī

qaum ko laḌte jhagaḌte dekhā

maañ ke āñchal meñ haiñ jitne paivand

sab ko ik saath udhaḌte dekhā

duur se biivī ne jhallā ke kahā

tel mahñgā bhī hai miltā bhī nahīñ

kyuuñ diye itne jalā rakkhe haiñ

apne ghar meñ na jharoka na muñDer

taaq sapnoñ ke sajā rakkhe haiñ

aayā ġhusse ik aisā jhoñkā

bujh ga.e saare diye

haañ magar ek diyā naam hai jis ummīd

jhilmilātā chalā jaatā hai

ek do hi nahin chhabbis diye

ek ek kar ke jalae main ne

ek diya nam ka aazadi ke

us ne jalte hue honTon se kaha

chahe jis mulk se gehun mango

hath phailane ki aazadi hai

ek diya nam ka KHush-haali ke

us ke jalte hi ye malum hua

kitni bad-hali hai

peT KHali hai mera jeb meri KHali hai

ek diya nam ka yak-jehti ke

raushni us ki jahan tak pahunchi

qaum ko laDte jhagaDte dekha

man ke aanchal mein hain jitne paiwand

sab ko ek sath udhaDte dekha

dur se biwi ne jhalla ke kaha

tel mahnga bhi hai milta bhi nahin

kyun diye itne jala rakkhe hain

apne ghar mein na jharoka na munDer

taq sapnon ke saja rakkhe hain

aaya ghusse ka ek aisa jhonka

bujh gae sare diye

han magar ek diya nam hai jis ka ummid

jhilmilata hi chala jata hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Kaifi Azmi

Kaifi Azmi,

Kaifi Azmi

Kaifi Azmi,

Nomaan Shauque

charaghan Nomaan Shauque

Kaifi Azmi

charaghan Kaifi Azmi

Kaifi Azmi

charaghan Kaifi Azmi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now