Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kaisi aurten thin

Asna Badr

wo kaisi aurten thin

Asna Badr

vo kaisī aurteñ thiiñ

jo giilī lakḌiyoñ ko phūñk kar chūlhā jalātī thiiñ

jo sil par surḳh mircheñ piis kar sālan pakātī thiiñ

sahar se shaam tak masrūf lekin muskurātī thiiñ

bharī dopahar meñ sar apnā jo Dhak kar milne aatī thiiñ

jo pañkhe haath ke jhaltī thiiñ aur bas paan khātī thiiñ

jo darvāze pe ruk kar der tak rasmeñ nibhātī thiiñ

palañgoñ par nafāsat se darī chādar bichhātī thiiñ

ba-sad isrār mehmānoñ ko sirhāne biThātī thiiñ

agar garmī ziyāda ho to rūh-afzā pilātī thiiñ

jo apnī beTiyoñ ko sweater bunñā sikhātī thiiñ

silā.ī mashīnoñ par kaḌe roze batātī thiiñ

baḌī pleToñ meñ jo iftār ke hisse banātī thiiñ

jo kalime kaaḌh kar lakḌī ke framoñ meñ sajātī thiiñ

duā.eñ phūñk kar bachchoñ ko bistar par sulātī thiiñ

aur apnī jā-namāzeñ moḌ kar takiya lagātī thiiñ

koī saa.il jo dastak de use khānā khilātī thiiñ

paḌosan maañg le kuchh bā-ḳhushī detī dilātī thiiñ

jo rishtoñ ko baratne ke ka.ī nusḳhe batātī thiiñ

mohalle meñ koī mar jaa.e to aañsū bahātī thiiñ

koī bīmār paḌ jaa.e to us ke paas jaatī thiiñ

koī tehvār ho to ḳhuub mil-jul kar manātī thiiñ

vo kaisī aurteñ thiiñ

maiñ jab ghar apne jaatī huuñ to fursat ke zamānoñ meñ

unheñ DhūñDhtī phirtī huuñ galiyoñ aur makānoñ meñ

kisī mīlād meñ juzdān meñ tasbīh dānoñ meñ

kisī barāmde ke taaq par bāvarchī ḳhānoñ meñ

magar apnā zamāna saath le kar kho ga.ī haiñ vo

kisī ik qabr meñ saarī saarī so ga.ī haiñ vo

wo kaisi aurten thin

jo gili lakDiyon ko phunk kar chulha jalati thin

jo sil par surKH mirchen pis kar salan pakati thin

sahar se sham tak masruf lekin muskuraati thin

bhari dopahar mein sar apna jo Dhak kar milne aati thin

jo pankhe hath ke jhalti thin aur bas pan khati thin

jo darwaze pe ruk kar der tak rasmen nibhati thin

palangon par nafasat se dari chadar bichhati thin

ba-sad israr mehmanon ko sirhane biThati thin

agar garmi ziyaada ho to ruh-afza pilati thin

jo apni beTiyon ko sweater bunna sikhati thin

silai ki mashinon par kaDe roze batati thin

baDi pleTon mein jo iftar ke hisse banati thin

jo kalime kaDh kar lakDi ke framon mein sajati thin

duaen phunk kar bachchon ko bistar par sulati thin

aur apni ja-namazen moD kar takiya lagati thin

koi sail jo dastak de use khana khilati thin

paDosan mang le kuchh ba-KHushi deti dilati thin

jo rishton ko baratne ke kai nusKHe batati thin

mohalle mein koi mar jae to aansu bahati thin

koi bimar paD jae to us ke pas jati thin

koi tehwar ho to KHub mil-jul kar manati thin

wo kaisi aurten thin

main jab ghar apne jati hun to fursat ke zamanon mein

unhen hi DhunDhti phirti hun galiyon aur makanon mein

kisi milad mein juzdan mein tasbih danon mein

kisi baramde ke taq par bawarchi KHanon mein

magar apna zamana sath le kar kho gai hain wo

kisi ek qabr mein sari ki sari so gai hain wo

RECITATIONS

Azra Naqvi

Azra Naqvi,

00:00/00:00
Azra Naqvi

Wo kesi aurtein thi Azra Naqvi

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now