Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kale safed paron wala parinda aur meri ek sham

Akhtarul Iman

kale safed paron wala parinda aur meri ek sham

Akhtarul Iman

jab din Dhal jaatā hai, sūraj dhartī oT meñ ho jaatā hai

aur bhiḌoñ ke chhatte jaisī bhin-bhin

bāzāroñ garmī, afrā-tafrī

motor, bas, barqī railoñ hañgāma tham jaatā hai

chā.e-ḳhānoñ nāch-gharoñ se kam-sin laḌke

apne ham-sin māshūqoñ ko

jin jinsī ḳhvāhish vaqt se pahle jaag uThī hai

le kar chukte haiñ

baḌhtī phailtī ūñchī himāla jaisī ta.amīroñ par ḳhāmoshī chhā jaatī hai

theater tafrīh-gāhoñ meñ taale paḌ jaate haiñ

aur ba-zāhir duniyā so jaatī hai

maiñ apne kamre meñ baiThā sochā kartā huuñ

kuttoñ dum TeḌhī kyuuñ hotī hai

ye chitkabrī duniyā jis koī bhī kirdār nahīñ hai

koī falsafa koī pā.inda aqdār nahīñ, me.aar nahīñ hai

is par ahl-e-dānish vidvān, falsafī

moTī moTī adaq kitābeñ kyuuñ likkhā karte haiñ?

'furqat' maañ ne shauhar ke marne par kitnā kohrām machāyā thā

lekin iddat ke din puure hone se ik hafta pahle

'nīlam' ke māmūñ ke saath badaun pahuñchī thī

bī-bī sehnak koñDe fātiha-ḳhvānī

jañg-e-siffīn, jamal aur badar ke qissoñ

sīrat-e-nabvī tark-e-duniyā aur maulvī-sāhab ke halve māñDe meñ kyā rishta hai?

din to uḌ jaate haiñ

ye sab kaale par vaale bagule haiñ

jo hañste khelte lamhoñ ko

apne pañkhoñ meñ muuñd ke āñkhoñ se ojhal ho jaate haiñ

rāhat jaise ḳhvāb hai aise insānoñ

jin ummīdoñ ke dāman meñ paivand lage haiñ

jaama ek taraf siite haiñ dūsrī jānib phaT jaatā hai

ye duniyā lamha lamha jiitī hai

'maryam' ab kapḌe setī hai

āñkhoñ bīnā.ī saath nahīñ detī ab

aur 'ġhazanfar'

jo rūmāl meñ laDDū bāñdh ke us ke ghar meñ pheñkā kartā thā

aur us āñkhoñ tausīf meñ ġhazleñ likhvā kar laayā kartā thā

us ne aur kahīñ shādī kar hai

ab apnī lakḌī Taal pe baiThā

apnī kaj-rā.ī aur javānī ke qisse dohrāyā kartā hai

Taal se uTh kar jab ghar meñ aatā hai

beTī par qadġhan rakhtā hai

na.e zamāne aulād ab vaisī nahīñ rah ga.ī

badkārī baḌhtī jaatī hai

jo din biit ga.e kitne achchhe the!

bargad ke nīche baiTho suulī chaḌh jaao

bhaiñse laḌne se baaz nahīñ ā.eñge

maut se ham ne ek ta.āvun kar rakkhā hai

saḌkoñ par se har lamha ik mayyat jaatī hai

pas-manzar meñ kyā hotā hai nazar kahāñ jaatī hai

sāmne jo kuchh hai rañgoñ āvāzoñ chehroñ melā hai!

gurgal uḌ kar vo pilkhan par baiThī

pīpal meñ tote ne bachche de rakhe haiñ

guldum jo pakḌī thī kal be-chārī mar ga.ī

'najma' ke bele meñ kitnī kaliyāñ aa.eñ haiñ

phūloñ ḳhushbū se kyā kyā yaad aatā hai

ye jab qissa hai saḌkoñ par na.ī na.ī bijlī aa.ī thī

aur mujhe siine meñ dil hone ehsās huā thā

iid ke din ham ne laTThe shalvāreñ silvā.ī thiiñ

aur sivayyoñ zarda ham-sā.e meñ bhejvāyā thā

sab nīche baiThak meñ baiThe the

maiñ uupar ke kamre meñ baiThā

khiḌkī se 'zainab' ke ghar meñ phūloñ ke guchchhe pheñk rahā thā

kal 'zainab' ghar nīlām ho rahā hai

sarkārī tahvīl meñ thā ik muddat se

shāyad patjhaḌ mausam aa pahuñchā

pattoñ ke girne āvāz musalsal aatī hai

chechak Tiika bīmārī ko roke rakhtā hai

zabt-e-taulīd isqāt vaġhaira

insānī ābādī ko baḌhne se rokeñgi

bandar ne jab se do Tāñgoñ par chalnā sīkhā

us ke zehn ne harkat meñ aanā sīkhā hai

pattoñ ke girne āvāz musalsal aatī hai

saḌkoñ par roz na.e chehre milte haiñ

maut se ham ne ek ta.āvun kar rakkhā hai

pas-manzar meñ nazar kahāñ jaatī hai

phūloñ ḳhushbū se kyā kyā yaad aatā hai

chauk meñ jis din phuul paḌe saḌte the

ḳhūnī darvāze par shahzādoñ phāñsī elaan huā thā

ye duniyā lamha lamha jiitī hai

dillī galiyāñ vaisī ābād shaad haiñ sab

din to kaale par vaale bagule haiñ

jo sab lamhoñ ko

apne pañkhoñ meñ muuñd ke āñkhoñ se ojhal ho jaate haiñ

chāroñ jānib rañg rañg ke jhanDe uḌte haiñ

sab jeboñ meñ insānoñ ke dukh-dard darmāñ

ḳhushiyoñ nusḳha bañdhā paḌā hai

lekin aisā kyuuñ hai

jab nusḳha khultā hai

1857 jaatā hai

1947 aa jaatā hai

jab din Dhal jata hai, suraj dharti ki oT mein ho jata hai

aur bhiDon ke chhatte jaisi bhin-bhin

bazaron ki garmi, afra-tafri

motor, bas, barqi railon ka hangama tham jata hai

chae-KHanon nach-gharon se kam-sin laDke

apne ham-sin mashuqon ko

jin ki jinsi KHwahish waqt se pahle jag uThi hai

le kar ja chukte hain

baDhti phailti unchi himala jaisi tamiron par KHamoshi chha jati hai

theater tafrih-gahon mein tale paD jate hain

aur ba-zahir duniya so jati hai

main apne kamre mein baiTha socha karta hun

kutton ki dum TeDhi kyun hoti hai

ye chitkabri duniya jis ka koi bhi kirdar nahin hai

koi falsafa koi painda aqdar nahin, mear nahin hai

is par ahl-e-danish widwan, falsafi

moTi moTi adaq kitaben kyun likkha karte hain?

'furqat' ki man ne shauhar ke marne par kitna kohram machaya tha

lekin iddat ke din pure hone se ek hafta pahle

'nilam' ke mamun ke sath badaun ja pahunchi thi

bi-bi ki sehnak konDe fatiha-KHwani

jang-e-siffin, jamal aur badar ke qisson

sirat-e-nabwi tark-e-duniya aur maulwi-sahab ke halwe manDe mein kya rishta hai?

din to uD jate hain

ye sab kale par wale bagule hain

jo hanste khelte lamhon ko

apne pankhon mein mund ke aankhon se ojhal ho jate hain

rahat jaise KHwab hai aise insanon ka

jin ki ummidon ke daman mein paiwand lage hain

jama ek taraf site hain dusri jaanib phaT jata hai

ye duniya lamha lamha jiti hai

'maryam' ab kapDe seti hai

aankhon ki binai sath nahin deti ab

aur 'ghazanfar'

jo rumal mein laDDu bandh ke us ke ghar mein phenka karta tha

aur us ki aankhon ki tausif mein ghazlen likhwa kar laya karta tha

us ne aur kahin shadi kar li hai

ab apni lakDi ki Tal pe baiTha

apni kaj-rai aur jawani ke qisse dohraya karta hai

Tal se uTh kar jab ghar mein aata hai

beTi par qadghan rakhta hai

nae zamane ki aulad ab waisi nahin rah gai

badkari baDhti jati hai

jo din bit gae kitne achchhe the!

bargad ke niche baiTho ya suli chaDh jao

bhainse laDne se baz nahin aaenge

maut se hum ne ek taawun kar rakkha hai

saDkon par se har lamha ek mayyat jati hai

pas-manzar mein kya hota hai nazar kahan jati hai

samne jo kuchh hai rangon aawazon chehron ka mela hai!

gurgal uD kar wo pilkhan par ja baiThi

pipal mein tote ne bachche de rakhe hain

guldum jo pakDi thi kal be-chaari mar gai

'najma' ke bele mein kitni kaliyan aaen hain

phulon ki KHushbu se kya kya yaad aata hai

ye jab ka qissa hai saDkon par nai nai bijli aai thi

aur mujhe sine mein dil hone ka ehsas hua tha

id ke din hum ne laTThe ki shalwaren silwai thin

aur siwayyon ka zarda ham-sae mein bhejwaya tha

sab niche baiThak mein baiThe the

main upar ke kamre mein baiTha

khiDki se 'zainab' ke ghar mein phulon ke guchchhe phenk raha tha

kal 'zainab' ka ghar nilam ho raha hai

sarkari tahwil mein tha ek muddat se

shayad patjhaD ka mausam aa pahuncha

patton ke girne ki aawaz musalsal aati hai

chechak ka Tika bimari ko roke rakhta hai

zabt-e-taulid isqat waghaira

insani aabaadi ko baDhne se rokengi

bandar ne jab se do Tangon par chalna sikha

us ke zehn ne harkat mein aana sikha hai

patton ke girne ki aawaz musalsal aati hai

saDkon par roz nae chehre milte hain

maut se hum ne ek taawun kar rakkha hai

pas-manzar mein nazar kahan jati hai

phulon ki KHushbu se kya kya yaad aata hai

chauk mein jis din phul paDe saDte the

KHuni darwaze par shahzadon ki phansi ka elan hua tha

ye duniya lamha lamha jiti hai

dilli ki galiyan waisi hi aabaad shad hain sab

din to kale par wale bagule hain

jo sab lamhon ko

apne pankhon mein mund ke aankhon se ojhal ho jate hain

chaaron jaanib rang rang ke jhanDe uDte hain

sab ki jebon mein insanon ke dukh-dard ka darman

KHushiyon ka nusKHa bandha paDa hai

lekin aisa kyun hai

jab nusKHa khulta hai

1857 jata hai

1947 aa jata hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Akhtarul Iman

Akhtarul Iman

RECITATIONS

Akhtarul Iman

Akhtarul Iman,

00:00/00:00
Akhtarul Iman

kale safed paron wala parinda aur meri ek sham Akhtarul Iman

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now