Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iqbaal

aayā hamāre des meñ ik ḳhush-navā faqīr

aayā aur apnī dhun meñ ġhazal-ḳhvāñ guzar gayā

sunsān rāheñ ḳhalq se ābād ho ga.iiñ

vīrān mai-kadoñ nasība sañvar gayā

thiiñ chand nigāheñ jo us tak pahuñch sakīñ

par us giit sab ke diloñ meñ utar gayā

ab duur chukā hai vo shāh-e-gadā-numā

aur phir se apne des rāheñ udaas haiñ

chand ik ko yaad hai koī us adā-e-ḳhās

do ik nigāheñ chand azīzoñ ke paas haiñ

par us giit sab ke diloñ meñ muqīm hai

aur us ke lai se saikaḌoñ lazzat-shanās haiñ

is giit ke tamām mahāsin haiñ lā-zavāl

is vafūr is ḳharosh is soz-o-sāz

ye giit misal-e-shola-e-javvāla tund-o-tez

is lapak se bād-e-fanā jigar gudāz

jaise charāġh vahshat-e-sar-sar se be-ḳhatar

sham-e-bazm sub.h aamad se be-ḳhabar

aaya hamare des mein ek KHush-nawa faqir

aaya aur apni dhun mein ghazal-KHwan guzar gaya

sunsan rahen KHalq se aabaad ho gain

viran mai-kadon ka nasiba sanwar gaya

thin chand hi nigahen jo us tak pahunch sakin

par us ka git sab ke dilon mein utar gaya

ab dur ja chuka hai wo shah-e-gada-numa

aur phir se apne des ki rahen udas hain

chand ek ko yaad hai koi us ki ada-e-KHas

do ek nigahen chand azizon ke pas hain

par us ka git sab ke dilon mein muqim hai

aur us ke lai se saikaDon lazzat-shanas hain

is git ke tamam mahasin hain la-zawal

is ka wafur is ka KHarosh is ka soz-o-saz

ye git misal-e-shola-e-jawwala tund-o-tez

is ki lapak se baad-e-fana ka jigar gudaz

jaise charagh wahshat-e-sar-sar se be-KHatar

ya sham-e-bazm subh ki aamad se be-KHabar

Source :
  • Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 85)
  • Publication : Educational Publishing House (2009)
  • Edition : 2009

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now