Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHatib-e-azam (sayyad ata-ullah-buKhaari)

Shorish kashmiri

KHatib-e-azam (sayyad ata-ullah-buKhaari)

Shorish kashmiri

MORE BYShorish kashmiri

    ḳhatīb-e-āzam arab naġhma ajam lai meñ sunā rahā hai

    sar-e-chaman chahchahā rahā hai sar-e-viġhā muskurā rahā hai

    hadīs-e-sarv-o-saman nichhāvar zabān-e-shamshīr is pe qurbāñ

    musailama aise ja.al-sāzoñ beḳh o buniyād Dhā rahā hai

    qurūn-e-ūla razm-gāhoñ se murtazā jalāl le kar

    dabīz nīndeñ jhiñjhoḌtā hai mujāhidoñ ko jagā rahā hai

    haiñ us lalkār se hirāsāñ mohammad-e-mustafā ke bāġhī

    vafā ke jhanDe gaḌe hue haiñ ġhanīm par dandanā rahā hai

    maiñ us ke chehre muskurāhaT se aisā mahsūs kar rahā huuñ

    ki jaise kausar pe shaam hote koī diyā jhilmilā rahā hai

    vo mard darvesh jis ko haq ne diye haiñ andāz-e-ḳhusravāna

    usī sūrat ko tak rahā hai safar se lauTā huā zamāna

    KHatib-e-azam arab ka naghma ajam ki lai mein suna raha hai

    sar-e-chaman chahchaha raha hai sar-e-wigha muskura raha hai

    hadis-e-sarw-o-saman nichhawar zaban-e-shamshir is pe qurban

    musailama aise jal-sazon ki beKH o buniyaad Dha raha hai

    qurun-e-ula ki razm-gahon se murtaza ka jalal le kar

    dabiz ninden jhinjhoDta hai mujahidon ko jaga raha hai

    hain us ki lalkar se hirasan mohammad-e-mustafa ke baghi

    wafa ke jhanDe gaDe hue hain ghanim par dandana raha hai

    main us ke chehre ki muskurahaT se aisa mahsus kar raha hun

    ki jaise kausar pe sham hote koi diya jhilmila raha hai

    wo mard darwesh jis ko haq ne diye hain andaz-e-KHusrawana

    usi ki surat ko tak raha hai safar se lauTa hua zamana

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now