Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panghaT ki rani

Saghar Nizami

panghaT ki rani

Saghar Nizami

MORE BYSaghar Nizami

    aa.ī vo panghaT devī, vo panghaT raanī

    duniyā hai matvālī jis aur fitrat dīvānī

    māthe par sindūrī Tiikā rañgīn o nūrānī

    sūraj hai ākāsh meñ jis zau se pānī-pānī

    chham-chham us ke bachhve boleñ jaise gaa.e paanī

    aa.ī vo panghaT devī vo panghaT raanī

    kānoñ meñ bele ke jhumke āñkheñ mai ke kaTore

    gore ruḳh par til haiñ haiñ phāgun ke do bhañvre

    komal komal us kalā.ī jaise kamal ke DanThal

    nūr-e-sahar mastī meñ uThā.e jis bhīgā āñchal

    fitrat ke mai-ḳhāne vo chaltī-phirtī botal

    aa.ī vo panghaT devī vo panghaT raanī

    rag-rag jis hai ik baajā aur nas-nas zanjīr

    krishn murārī bansī hai arjun tiir

    sar se tak shoḳhī vo ik rañgīñ tasvīr

    panghaT bekul jis ḳhātir chanchal jamunā niir

    jis rasta Tik-Tik dekhe sūraj rahgīr

    aa.ī panghaT devī vo panghaT raanī

    sar par ik pītal gāgar zohra ko sharmā.e

    shauq-e-pā-bosī meñ jis se paanī chhalkā jaa.e

    prem sāgar būñdeñ ban kar jhūmā umDā aa.e

    sar se barse aur siine ke darpan ko chamkā.e

    us darpan ko jis se javānī jhāñke aur sharmā.e

    aa.ī panghaT devī vo panghaT raanī

    aai wo panghaT ki dewi, wo panghaT ki rani

    duniya hai matwali jis ki aur fitrat diwani

    mathe par sinduri Tika rangin o nurani

    suraj hai aakash mein jis ki zau se pani-pani

    chham-chham us ke bachhwe bolen jaise gae pani

    aai wo panghaT ki dewi wo panghaT ki rani

    kanon mein bele ke jhumke aankhen mai ke kaTore

    gore ruKH par til hain ya hain phagun ke do bhanwre

    komal komal us ki kalai jaise kamal ke DanThal

    nur-e-sahar masti mein uThae jis ka bhiga aanchal

    fitrat ke mai-KHane ki wo chalti-phirti botal

    aai wo panghaT ki dewi wo panghaT ki rani

    rag-rag jis ki hai ek baja aur nas-nas zanjir

    krishn murari ki bansi hai ya arjun ka tir

    sar se pa tak shoKHi ki wo ek rangin taswir

    panghaT bekul jis ki KHatir chanchal jamuna nir

    jis ka rasta Tik-Tik dekhe suraj sa rahgir

    aai panghaT ki dewi wo panghaT ki rani

    sar par ek pital ki gagar zohra ko sharmae

    shauq-e-pa-bosi mein jis se pani chhalka jae

    prem ka sagar bunden ban kar jhuma umDa aae

    sar se barse aur sine ke darpan ko chamkae

    us darpan ko jis se jawani jhanke aur sharmae

    aai panghaT ki dewi wo panghaT ki rani

    Source :
    • Book : kulliyat-e-saghar nizami (Pg. 326)
    • Author : muzaffar hanfi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now