Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shri-krishn

Seemab Akbarabadi

shri-krishn

Seemab Akbarabadi

huā tulūa sitāroñ dilkashī le kar

surūr aañkh meñ nazroñ meñ zindagī le kar

ḳhudī ke hosh uḌāne ba-sad niyāz aayā

na.e piyāloñ meñ sahbā-e-be-ḳhudī le kar

fazā-e-dahr meñ gaatā phirā vo priit ke giit

nashāt-ḳhez-o-sukūñ-rez bāñsurī le kar

jahān-e-qalb sarāpā-gudāz ban gayā

har ek zarra mohabbat saaz ban gayā

jamāl-o-husn ke kāfir nikhār se khelā

riyāz-e-ishq rangīñ bahār se khelā

payambaroñ kabhī rasm adā us ne

gavālā ban ke kabhī sabza-zār se khelā

bahā diye kabhī Thokar se prem ke chashme

kabhī jaman kabhī gangā dhaar se khelā

hañsī hañsī meñ vo dukh-dard jheltā rahā

karishma-bāz zamāne se kheltā rahā

kiyā zamāne ko ma.amūr apne naġhmoñ se

sikhā.e ishq ke dastūr apne naġhmoñ se

sadāqat aur mohabbat us ne ta.alīm

andheriyoñ meñ bharā nuur apne naġhmoñ se

latāfatoñ se kiyā arz-e-hind ko labrez

kasāfatoñ ko kiyā duur apne naġhmoñ se

falak ko yaad haiñ us ahd-e-pāk bāteñ

vo bāñsurī vo mohabbat sāñvlī rāteñ

diloñ meñ rang-e-mohabbat ko ustuvār kiyā

savād-e-hind ko giitā se naġhma-bār kiyā

jo raaz koshish-e-nutq-o-zabāñ se khul na sakā

vo raaz apnī nigāhoñ se āshkār kiyā

udāsiyoñ ko na.ī zindagī atā kar

har ek zarre ko dil de ke be-qarār kiyā

jo mashrab us na is tarah aam ho jaatā

jahāñ se mahv mohabbat naam ho jaatā

hua tulua sitaron ki dilkashi le kar

surur aankh mein nazron mein zindagi le kar

KHudi ke hosh uDane ba-sad niyaz aaya

nae piyalon mein sahba-e-be-KHudi le kar

faza-e-dahr mein gata phira wo prit ke git

nashat-KHez-o-sukun-rez bansuri le kar

jahan-e-qalb sarapa-gudaz ban hi gaya

har ek zarra mohabbat ka saz ban hi gaya

jamal-o-husn ke kafir nikhaar se khela

riyaz-e-ishq ki rangin bahaar se khela

payambaron ki kabhi rasm ki ada us ne

gawala ban ke kabhi sabza-zar se khela

baha diye kabhi Thokar se prem ke chashme

kabhi jaman kabhi ganga ki dhaar se khela

hansi hansi mein wo dukh-dard jhelta hi raha

karishma-baz zamane se khelta hi raha

kiya zamane ko mamur apne naghmon se

sikhae ishq ke dastur apne naghmon se

sadaqat aur mohabbat ki us ne di talim

andheriyon mein bhara nur apne naghmon se

latafaton se kiya arz-e-hind ko labrez

kasafaton ko kiya dur apne naghmon se

falak ko yaad hain us ahd-e-pak ki baaten

wo bansuri wo mohabbat ki sanwli raaten

dilon mein rang-e-mohabbat ko ustuwar kiya

sawad-e-hind ko gita se naghma-bar kiya

jo raaz koshish-e-nutq-o-zaban se khul na saka

wo raaz apni nigahon se aashkar kiya

udasiyon ko nai zindagi ata kar di

har ek zarre ko dil de ke be-qarar kiya

jo mashrab us ka na is tarah aam ho jata

jahan se mahw mohabbat ka nam ho jata

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now