Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aao chalo school chalen hum

Mushir Jhanjhanvi

aao chalo school chalen hum

Mushir Jhanjhanvi

MORE BYMushir Jhanjhanvi

    raat ne bāñdhā apnā parcham

    ab vo kahāñ zulmat ke dam-ḳham

    husn-e-mujassam sub.h aalam

    bachchoñ meñ hai shor ye paiham

    aao chalo schōl chaleñ ham

    raat ga.ī le kar añdhiyārā

    ab hai chāroñ or ujālā

    bachchoñ ne bastoñ ko sambhālā

    sab ne mil kar giit ye gaayā

    aao chalo schōl chaleñ ham

    amn ham pahchān baneñge

    gautam nirvān baneñge

    bhārat ham shaan baneñge

    paḌh likh kar insān baneñge

    aao chalo schōl chaleñ ham

    kyoñ na banā.eñ aise naqshe

    jin se desh meñ daulat barse

    banjar dhartī sonā ugle

    ye bhī milegā ilm-o-amal se

    aao chalo schōl chaleñ ham

    khetī-bāḌī desh zīnat

    apnī dhartī apnī mehnat

    kaam se hai duniyā meñ izzat

    izzat hai mehnat badaulat

    aao chalo schōl chaleñ ham

    desh ke sar taaj baneñge

    bhārat ham laaj baneñge

    kal ke kyoñ muhtāj baneñge

    jo bhī baneñge aaj baneñge

    aao chalo schōl chaleñ ham

    raat ne bandha apna parcham

    ab wo kahan zulmat ke dam-KHam

    husn-e-mujassam subh ka aalam

    bachchon mein hai shor ye paiham

    aao chalo school chalen hum

    raat gai le kar andhiyara

    ab hai chaaron or ujala

    bachchon ne baston ko sambhaala

    sab ne mil kar git ye gaya

    aao chalo school chalen hum

    amn ki hum pahchan banenge

    gautam ka nirwan banenge

    bhaarat ki hum shan banenge

    paDh likh kar insan banenge

    aao chalo school chalen hum

    kyon na banaen aise naqshe

    jin se desh mein daulat barse

    banjar dharti sona ugle

    ye bhi milega ilm-o-amal se

    aao chalo school chalen hum

    kheti-baDi desh ki zinat

    apni dharti apni mehnat

    kaam se hai duniya mein izzat

    izzat hai mehnat ki badaulat

    aao chalo school chalen hum

    desh ke sar ka taj banenge

    bhaarat ki hum laj banenge

    kal ke kyon muhtaj banenge

    jo bhi banenge aaj banenge

    aao chalo school chalen hum

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now