Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shararti laDke aur qawwali

Hasrat Jaipuri

shararti laDke aur qawwali

Hasrat Jaipuri

MORE BYHasrat Jaipuri

    apne teacher ko nachā.eñ to maza aa jaa.e

    un ainak ko churā.eñ to maza aa jaa.e

    un ke DanDe ko chhupā.eñ to maza aa jaa.e

    aaj bhar ke satā.eñ to maza aa jaa.e

    kaun din hai jo teacher ne nahīñ maarā hai

    ham ne har kaam kiyā phir bhī to phaTkārā hai

    un ġhussa hai ki dahkā huā añgārā hai

    aag meñ aag lagā.eñ to maza aa jaa.e

    muñh pe chāñTe bhī diye ham ne banāyā murġhā

    ham ne schōl se har roz ye tamġha paayā

    kitne jallād haiñ teacher are allāh allāh

    ham bhī muñh un chaḌhā.eñ to maza aa jaa.e

    vo paḌhāte haiñ to ausān ḳhatā hote haiñ

    haq paḌhā.ī ke ye dushvār adā hote haiñ

    ham agar rote haiñ phir aur ḳhafā hote haiñ

    aaj un ko bhī rulā.eñ to maza aa jaa.e

    un kursī pe chalo aao paTāḳhe bāñdheñ

    jab vo aa.eñ to paTāḳhoñ taḌapnā dekheñ

    ham bhī shāgird-e-sitam-gār haiñ itnā māneñ

    pīchhe pīchhe bhagā.eñ to mazā aa jaa.e

    un jo chiiz hai chupke se chhupā deñ aao

    paan biiḌī jo Dibiyā hai uḌā deñ aao

    ham sharārat ke na.e jaal bichhā deñ aao

    vo kisī jaal meñ aa.eñ to mazā aa jaa.e

    vo agar sāmne aa jaa.eñ to mil kar chīḳheñ

    vo kaheñ chup raho ham aur bhī hañs kar chīḳheñ

    aur vo āñḳheñ dikhā.eñ to akaḌ kar chīḳheñ

    un ko dīvāna banā.eñ to maza aa jaa.e

    apne teacher ko nachaen to maza aa jae

    un ki ainak ko churaen to maza aa jae

    un ke DanDe ko chhupaen to maza aa jae

    aaj ji bhar ke sataen to maza aa jae

    kaun sa din hai jo teacher ne nahin mara hai

    hum ne har kaam kiya phir bhi to phaTkara hai

    un ka ghussa hai ki dahka hua angara hai

    aag mein aag lagaen to maza aa jae

    munh pe chanTe bhi diye hum ne banaya murgha

    hum ne school se har roz ye tamgha paya

    kitne jallad hain teacher are allah allah

    hum bhi munh un ka chaDhaen to maza aa jae

    wo paDhate hain to ausan KHata hote hain

    haq paDhai ke ye dushwar ada hote hain

    hum agar rote hain phir aur KHafa hote hain

    aaj un ko bhi rulaen to maza aa jae

    un ki kursi pe chalo aao paTaKHe bandhen

    jab wo aaen to paTaKHon ka taDapna dekhen

    hum bhi shagird-e-sitam-gar hain itna manen

    pichhe pichhe hi bhagaen to maza aa jae

    un ki jo chiz hai chupke se chhupa den aao

    pan biDi ki jo Dibiya hai uDa den aao

    hum shararat ke nae jal bichha den aao

    wo kisi jal mein aaen to maza aa jae

    wo agar samne aa jaen to mil kar chiKHen

    wo kahen chup raho hum aur bhi hans kar chiKHen

    aur wo aanKHen dikhaen to akaD kar chiKHen

    un ko diwana banaen to maza aa jae

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now