holi
dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī
nashāt-o-tarab kā hai sāmān holī
dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī
fazāoñ meñ gūñje hue haiñ tarāne
koī rang khele koī gaa.e gaane
kahīñ chahchahe haiñ kahīñ qahqahe haiñ
nikāle har ik dil kā armān holī
dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī
bahāroñ se dāman sajā.e hue hai
nishāñ ranj-o-ġham kā miTā.e hue hai
luTātī hai ghar ghar ḳhushī kā ḳhazāna
sajātī hai har lab pe muskān holī
dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī
adāvat kī chiñgāriyoñ ko bujhā kar
diloñ meñ mohabbat kī kaliyāñ khilā kar
sabaq bhā.ī-chāre kā detī hai sab ko
banātī hai insāñ ko insān holī
dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī
dikhati hai kya rang kya shan holi
nashat-o-tarab ka hai saman holi
dikhati hai kya rang kya shan holi
fazaon mein gunje hue hain tarane
koi rang khele koi gae gane
kahin chahchahe hain kahin qahqahe hain
nikale har ek dil ka arman holi
dikhati hai kya rang kya shan holi
bahaaron se daman sajae hue hai
nishan ranj-o-gham ka miTae hue hai
luTati hai ghar ghar KHushi ka KHazana
sajati hai har lab pe muskan holi
dikhati hai kya rang kya shan holi
adawat ki chingariyon ko bujha kar
dilon mein mohabbat ki kaliyan khila kar
sabaq bhai-chaare ka deti hai sab ko
banati hai insan ko insan holi
dikhati hai kya rang kya shan holi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.