Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

prit ki holi

Zafar Sambhali

prit ki holi

Zafar Sambhali

MORE BYZafar Sambhali

    ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī

    priit ke pakke rang se jis ne rang man cholī sakhī

    darpan se jab nain mile to rah ga.ī maiñ bhī dang

    priit se us aur huā thā sundar mukh rang

    sakhiyoñ ne jab bhed ye pūchhā laaj se kuchh na bolī sakhī

    ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī

    maañg meñ merī us ne bharā thā jis dam laal gulāl

    sharm se us dam aur hue the mere gulābī gaal

    us ne tab mere hoñToñ par pyaar madirā kholī sakhī

    ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī

    chhoḌ gayā vo jab se mujh ko us yaad satā.e

    mujh birhan us bin kyā hai haal kahā na jaa.e

    itnī der rahī maiñ sukh se jitnī der ko so sakhī

    ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī

    yaad kare hai us ko mere dil ik ik dhaḌkan

    pairoñ meñ to paa.el taḌpe aur hāthoñ meñ kangan

    DhūñDne us ko maiñ sapne meñ nagrī-nagrī Dolī sakhī

    ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī

    aisī abhāgan huuñ maiñ jis ko priit na aa.ī raas

    chitā bhāñti mujh ko jalā.e piyā milan aas

    bhed mirā mat kahnā kisī se dekh mirī ai bholī sakhī

    ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī

    ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

    prit ke pakke rang se jis ne rang di man ki choli sakhi

    darpan se jab nain mile to rah gai main bhi dang

    prit se us ki aur hua tha sundar mukh ka rang

    sakhiyon ne jab bhed ye puchha laj se kuchh na boli sakhi

    ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

    mang mein meri us ne bhara tha jis dam lal gulal

    sharm se us dam aur hue the mere gulabi gal

    us ne tab mere honTon par pyar ki madira kholi sakhi

    ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

    chhoD gaya wo jab se mujh ko us ki yaad satae

    mujh birhan ka us bin kya hai haal kaha na jae

    itni der rahi main sukh se jitni der ko so li sakhi

    ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

    yaad kare hai us ko mere dil ki ek ek dhaDkan

    pairon mein to pael taDpe aur hathon mein kangan

    DhunDne us ko main sapne mein nagri-nagri Doli sakhi

    ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

    aisi abhagan hun main jis ko prit na aai ras

    chita ki bhanti mujh ko jalae piya milan ki aas

    bhed mera mat kahna kisi se dekh meri ai bholi sakhi

    ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now