Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ghair-alamti nazm

Jawayd Anwar

ek ghair-alamti nazm

Jawayd Anwar

MORE BYJawayd Anwar

    adhūrī laḌkiyo

    tum apne kamroñ meñ purāne saal ke bosīda calender sajā kar sochtī ho

    ye badan umroñ sāzish meñ na ā.eñge

    tumheñ kis ne batāyā hai

    ghaḌī sūiyoñ ko rokne se dauḌtā aur hāñptā sūraj misāl-e-naqsh-e-pā

    aflāk par jam jā.egā

    tumheñ ma.alūm hai uryāniyoñ ko Dhāñp kar tum aur uryāñ ho rahī ho

    roz in āñkhoñ tikḌī meñ tumhāre jism tulte haiñ

    har ik shab hostel meñ taash baazī meñ tum ko jiit kar ik jashn hotā hai

    hamārī ḳhvāb-gāhoñ meñ tumhāre ḳhvāb raushan haiñ

    chalī aao

    ki bāhar barf hai

    aur ab hameñ tum se judā bistar kahāñ taslīm karte haiñ

    chalī aao ki umreñ rā.egāñ hone se bach jā.eñ!

    adhuri laDkiyo

    tum apne kamron mein purane sal ke bosida calender saja kar sochti ho

    ye badan umron ki sazish mein na aaenge

    tumhein kis ne bataya hai

    ghaDi ki suiyon ko rokne se dauDta aur hanpta suraj misal-e-naqsh-e-pa

    aflak par jam jaega

    tumhein malum hai uryaniyon ko Dhanp kar tum aur uryan ho rahi ho

    roz in aankhon ki tikDi mein tumhaare jism tulte hain

    har ek shab hostel mein tash ki bazi mein tum ko jit kar ek jashn hota hai

    hamari KHwab-gahon mein tumhaare KHwab raushan hain

    chali aao

    ki bahar barf hai

    aur ab hamein tum se juda bistar kahan taslim karte hain

    chali aao ki umren raegan hone se bach jaen!

    Source :
    • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 39)
    • Author : Zahid Hasan
    • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
    • Edition : 2002

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now