shahid
mushtahar maut kī aarzū ne use
muztarib kar diyā is qadar ek din
vo salīboñ ke a.adād par roz-o-shab
ġhaur karne lagā
imtihāñ ke liye dasht ko chal diyā
apne hisse kī jab muntaḳhab kar chukā
us ne tārīḳh ke zard aur ek par
naam apnā ḳhushī se raqam kar diyā
ek par us kā sar
dūsrī par jigar
terī par laTaktā huā us kā jazboñ se ma.amūr dil
us kī āñteñ yahāñ
us kī phāñkeñ yahāñ
us kī apnī salīb aaj koī nahīñ
zard aurāq se miT ga.e sab nishāñ
dasht meñ duur tak chīḳhtī āñdhiyāñ
ḳhatm us kī huī mushtahar dāstāñ
mushtahar maut ki aarzu ne use
muztarib kar diya is qadar ek din
wo salibon ke aadad par roz-o-shab
ghaur karne laga
imtihan ke liye dasht ko chal diya
apne hisse ki jab muntaKHab kar chuka
us ne tariKH ke zard aur ek par
nam apna KHushi se raqam kar diya
ek par us ka sar
dusri par jigar
teri par laTakta hua us ka jazbon se mamur dil
us ki aanten yahan
us ki phanken yahan
us ki apni salib aaj koi nahin
zard auraq se miT gae sab nishan
dasht mein dur tak chiKHti aandhiyan
KHatm us ki hui mushtahar dastan
- Book : Lambi Barish (Pg. 72)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.