shahidan-e-azadi
vo parastārān-e-āzādī shahīdān-e-vatan
zīnat-e-hindostāñ honā thā jin kā bāñkpan
is vatan ke vāste kyā kyā sahe ranj-o-mehan
naaz ke qābil hai un kī jāñ-nisārī kā chalan
ḳhuun se sīñchā vatan kī sar-zamīn-e-pāk ko
martaba iksīr kā baḳhshā yahāñ kī ḳhaak ko
ziist kī har ek ne.amat mulk par qurbān thī
rahnumā ke ik ishāre par tasadduq jaan thī
ḳhuun dāman par na thā un kī yahī pahchān thī
ġhāziyān-e-hind kī sab se nirālī shaan thī
ye sitam-gāroñ ko ulfat kā sabaq de kar ga.e
jin ko marnā chāhiye thā un ke badle mar ga.e
jab huī mahsūs āzādī kī un ko ehtiyāj
aur un farmāñ-ravāoñ se kiyā jab ehtijāj
taish se tharrā gayā bartāniya kā sāmrāj
zulm se us ke huā bedār phir saarā samāj
mulk meñ kholā unhoñ ne jang-e-āzādī kā baab
sāmrājī zulm jis se ho gayā phir be-naqāb
goliyāñ kitnī chalā.īñ jaliyāñ vaale baaġh par
zulm phir Dhaa.e avadh kī begamoñ ko maar kar
tiin din kis tarah faaqe se rahe shāh-e-zafar
tīsre din tasht par laa.e ga.e beToñ ke sar
zulm kī tārīḳh-e-ḳhūnīñ se haiñ go nāshād ham
aaj ke din faḳhr se karte haiñ un ko yaad ham
aur is ke baa'd bhī qurbāniyāñ dete rahe
phir bhagat singh aur sāthī us ke suulī par chaḌhe
sar pe lāla-lājpat raa.e ke bhī DanDe paḌe
bose baabū mulk se bāhar hī jā kar mar ga.e
aur lākhoñ mar ga.e jin ke nahīñ ma.alūm naam
aaj ham karte haiñ un saare shahīdoñ ko salām
rang laayā hai bil-āḳhir un shahīdoñ kā lahū
ho ga.ī āzād ho jaane kī puurī aarzū
aur haiñ takmīl-e-āzādī ke charche chār-sū
ek din ban jā.egā ye mulk jannat hū-bahū
ḳhvāb dekhā thā unhoñ ne us kī ye ta.abīr hai
mulk meñ jaarī har ik unvān se ta.amīr hai
un kī azmat se sabaq leñ aaj ahl-e-eqtidār
kursiyoñ par baiTh jaane se nahīñ miltā vaqār
hukmrānī chhoḌ kar ban jaa.eñ vo ḳhidmat-guzār
naam un kā jāñ-nisārān-e-vatan meñ ho shumār
jis meñ ho matlab-parastī ziist vo nākām hai
zindagī āḳhir 'shifā' qurbāniyoñ kā naam hai
wo parastaran-e-azadi shahidan-e-watan
zinat-e-hindostan hona tha jin ka bankpan
is watan ke waste kya kya sahe ranj-o-mehan
naz ke qabil hai un ki jaan-nisari ka chalan
KHun se sincha watan ki sar-zamin-e-pak ko
martaba iksir ka baKHsha yahan ki KHak ko
zist ki har ek neamat mulk par qurban thi
rahnuma ke ek ishaare par tasadduq jaan thi
KHun daman par na tha un ki yahi pahchan thi
ghaziyan-e-hind ki sab se nirali shan thi
ye sitam-garon ko ulfat ka sabaq de kar gae
jin ko marna chahiye tha un ke badle mar gae
jab hui mahsus aazadi ki un ko ehtiyaj
aur un farman-rawaon se kiya jab ehtijaj
taish se tharra gaya bartaniya ka samraj
zulm se us ke hua bedar phir sara samaj
mulk mein khola unhon ne jang-e-azadi ka bab
samraji zulm jis se ho gaya phir be-naqab
goliyan kitni chalain jaliyan wale bagh par
zulm phir Dhae awadh ki begamon ko mar kar
tin din kis tarah faqe se rahe shah-e-zafar
tisre din tasht par lae gae beTon ke sar
zulm ki tariKH-e-KHunin se hain go nashad hum
aaj ke din faKHr se karte hain un ko yaad hum
aur is ke ba'd bhi qurbaniyan dete rahe
phir bhagat singh aur sathi us ke suli par chaDhe
sar pe lala-lajpat rae ke bhi DanDe paDe
bose babu mulk se bahar hi ja kar mar gae
aur lakhon mar gae jin ke nahin malum nam
aaj hum karte hain un sare shahidon ko salam
rang laya hai bil-aKHir un shahidon ka lahu
ho gai aazad ho jaane ki puri aarzu
aur hain takmil-e-azadi ke charche chaar-su
ek din ban jaega ye mulk jannat hu-bahu
KHwab dekha tha unhon ne us ki ye tabir hai
mulk mein jari har ek unwan se tamir hai
un ki azmat se sabaq len aaj ahl-e-eqtidar
kursiyon par baiTh jaane se nahin milta waqar
hukmrani chhoD kar ban jaen wo KHidmat-guzar
nam un ka jaan-nisaran-e-watan mein ho shumar
jis mein ho matlab-parasti zist wo nakaam hai
zindagi aaKHir 'shifa' qurbaniyon ka nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.