Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalwa-e-darbar-e-dehli

Akbar Allahabadi

jalwa-e-darbar-e-dehli

Akbar Allahabadi

sar meñ shauq saudā dekhā

dehlī ko ham ne bhī dekhā

jo kuchh dekhā achchhā dekhā

kyā batlā.eñ kyā kyā dekhā

jamunā-jī ke paaT ko dekhā

achchhe suthre ghaaT ko dekhā

sab se ūñche laaT ko dekhā

hazrat ''duke-connaught' ko dekhā

palTan aur risāle dekhe

gore dekhe kaale dekhe

sañgīneñ aur bhāle dekhe

band bajāne vaale dekhe

ḳhemoñ ik jañgal dekhā

us jañgal meñ mañgal dekhā

barahmā aur varañgal dekhā

izzat ḳhvāhoñ dañggal dekhā

saḌkeñ thiiñ har kamp se jaarī

paanī thā har pump se jaarī

nuur maujeñ lamp se jaarī

tezī thī har jump se jaarī

Daalī meñ nārañgī dekhī

mahfil meñ sārañgī dekhī

bairañgī bārañgī dekhī

dahr rañgā-rañgī dekhī

achchhe-achchhoñ ko bhaTkā dekhā

bhiiḌ meñ khāte jhaTkā dekhā

muñh ko agarche laTkā dekhā

dil darbār se aTkā dekhā

hāthī dekhe bhārī-bharkam

un chalnā kam kam tham tham

zarrīñ jhūleñ nuur aalam

mīloñ tak vo cham-cham cham-cham

pur thā pahlū-e-masjid-e-jāme

raushaniyāñ thiiñ har-sū laame

koī nahīñ thā kisī sāme.a

sab ke sab the diid ke taame

surḳhī saḌak par kuTtī dekhī

saañs bhī bhiiḌ meñ ghuTtī dekhī

ātish-bāzī chhuTtī dekhī

lutf daulat luTtī dekhī

chaukī ik chau-lakhkhī dekhī

ḳhuub chakkhī-pakhkhī dekhī

har-sū ne.amat rakkhī dekhī

shahd aur duudh makkhī dekhī

ek hissa mann-o-salvā

ek hissa thoḌā halvā

ek hissa bhiiḌ aur balvā

merā hissa duur jalva

avaj brīsh raajā dekhā

partav taḳht-o-tāj dekhā

rañg-e-zamāna aaj dekhā

ruḳh corzon mahrāj dekhā

pahuñche phāñd ke saat samundar

tahat meñ un ke bīsoñ bandar

hikmat-o-dānish un ke andar

apnī jagah har ek sikandar

auj-e-baḳht-e-mulāqī un

charḳh-e-haft-tabāaqī un

mahfil un saaqī un

āñkheñ merī baaqī un

ham to un ke ḳhair-talab haiñ

ham kyā aise sab ke sab haiñ

un ke raaj ke umda Dhab haiñ

sab sāmān-e-aish-o-tarab haiñ

egzibshan shaan anokhī

har shai umda har shai chokhī

aqlīdas naapī jokhī

man bhar sone lāgat sokhī

jashn-e-azīm is saal huā hai

shāhī fort meñ ball huā hai

raushan har ik hall huā hai

qissa-e-māzī haal huā hai

hai mash.hūr-e-kūcha-e-barzan

ball meñ nācheñ lady-corzon

tā.ir-e-hosh the sab ke larzan

rashk se dekh rahī thī har zan

hall meñ chamkīñ aa ke yakā-yak

zarrīñ thī poshāk jhkā-jhak

mahv thā un auj-e-samā tak

charḳh pe zohra un thī gāhak

go raqqāsa-e-auj-e-falak thī

us meñ kahāñ ye nok-palak thī

indr mahfil jhalak thī

bazm-e-ishrat sub.h talak thī

hai ye bandish zehn-e-rasā ne

koī maane ḳhvāh na maane

sunte haiñ ham to ye afsāne

jis ne dekhā ho vo jaane

sar mein shauq ka sauda dekha

dehli ko hum ne bhi ja dekha

jo kuchh dekha achchha dekha

kya batlaen kya kya dekha

jamuna-ji ke paT ko dekha

achchhe suthre ghaT ko dekha

sab se unche laT ko dekha

hazrat duke-connaught' ko dekha

palTan aur risale dekhe

gore dekhe kale dekhe

sanginen aur bhaale dekhe

band bajaane wale dekhe

KHemon ka ek jangal dekha

us jangal mein mangal dekha

barahma aur warangal dekha

izzat KHwahon ka danggal dekha

saDken thin har kamp se jari

pani tha har pump se jari

nur ki maujen lamp se jari

tezi thi har jump se jari

Dali mein narangi dekhi

mahfil mein sarangi dekhi

bairangi barangi dekhi

dahr ki ranga-rangi dekhi

achchhe-achchhon ko bhaTka dekha

bhiD mein khate jhaTka dekha

munh ko agarche laTka dekha

dil darbar se aTka dekha

hathi dekhe bhaari-bharkam

un ka chalna kam kam tham tham

zarrin jhulen nur ka aalam

milon tak wo cham-cham cham-cham

pur tha pahlu-e-masjid-e-jame

raushaniyan thin har-su lame

koi nahin tha kisi ka samea

sab ke sab the did ke tame

surKHi saDak par kuTti dekhi

sans bhi bhiD mein ghuTti dekhi

aatish-bazi chhuTti dekhi

lutf ki daulat luTti dekhi

chauki ek chau-lakhkhi dekhi

KHub hi chakkhi-pakhkhi dekhi

har-su neamat rakkhi dekhi

shahd aur dudh ki makkhi dekhi

ek ka hissa mann-o-salwa

ek ka hissa thoDa halwa

ek ka hissa bhiD aur balwa

mera hissa dur ka jalwa

awaj brish raja dekha

partaw taKHt-o-taj ka dekha

rang-e-zamana aaj ka dekha

ruKH corzon mahraj ka dekha

pahunche phand ke sat samundar

tahat mein un ke bison bandar

hikmat-o-danish un ke andar

apni jagah har ek sikandar

auj-e-baKHt-e-mulaqi un ka

charKH-e-haft-tabaaqi un ka

mahfil un ki saqi un ka

aankhen meri baqi un ka

hum to un ke KHair-talab hain

hum kya aise hi sab ke sab hain

un ke raj ke umda Dhab hain

sab saman-e-aish-o-tarab hain

egzibshan ki shan anokhi

har shai umda har shai chokhi

aqlidas ki napi jokhi

man bhar sone ki lagat sokhi

jashn-e-azim is sal hua hai

shahi fort mein ball hua hai

raushan har ek hall hua hai

qissa-e-mazi haal hua hai

hai mashhur-e-kucha-e-barzan

ball mein nachen lady-corzon

tair-e-hosh the sab ke larzan

rashk se dekh rahi thi har zan

hall mein chamkin aa ke yaka-yak

zarrin thi poshak jhka-jhak

mahw tha un ka auj-e-sama tak

charKH pe zohra un ki thi gahak

go raqqasa-e-auj-e-falak thi

us mein kahan ye nok-palak thi

indr ki mahfil ki jhalak thi

bazm-e-ishrat subh talak thi

ki hai ye bandish zehn-e-rasa ne

koi mane KHwah na mane

sunte hain hum to ye afsane

jis ne dekha ho wo jaane

Source :
  • Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 57)
  • Author : Ibne Kanwal
  • Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
  • Edition : 2005-2008

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now