Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ustad

nek bachche dil se karte haiñ adab ustād

baap ulfat se behtar hai ġhazab ustād

aam logoñ jahālat duur karne ke liye

haq-ta.ālā ne banāyā hai sabab ustād

us barakat se jahāñ meñ phailtī haiñ nekiyāñ

kyoñ na phir ustād se raazī ho rab ustād

kuchh na kuchh umda sabaq detī hai us zindagī

ḳhulq se ḳhālī nahīñ hai koī Dhab ustād

jis ghaḌī nādān bachchoñ ko sikhātā hai vo ilm

chuum lete haiñ farishte aa ke lab ustād

bas use paḌhne-paḌhāne se hamesha kaam hai

kitnā achchhā mashġhala hai roz-o-shab ustād

ḳhvāh saarī umr us ke paañv dho dho kar piye

aadmī se haq adā hotā hai kab ustād

imtihāñ meñ hal na ho jis dam koī mushkil savāl

ḳhud pasandoñ ko patā chaltā hai tab ustād

shukr ke jazbāt se gardan jhukā letā huuñ maiñ

yaad aatā hai mujhe ehsān jab ustād

kal zamāne nigāhoñ meñ vo izzat pā.egā

martaba pahchān jā.egā jo ab ustād

us ālamgīr haisiyyat hai shāhoñ tarah

kul ajam ustād hai kul arab ustād

chal rahe haiñ aaj duniyā meñ hazāroñ mahkame

sach agar pūchho to hai ye 'faiz' sab ustād

nek bachche dil se karte hain adab ustad ka

bap ki ulfat se behtar hai ghazab ustad ka

aam logon ki jahaalat dur karne ke liye

haq-taala ne banaya hai sabab ustad ka

us ki barakat se jahan mein phailti hain nekiyan

kyon na phir ustad se raazi ho rab ustad ka

kuchh na kuchh umda sabaq deti hai us ki zindagi

KHulq se KHali nahin hai koi Dhab ustad ka

jis ghaDi nadan bachchon ko sikhata hai wo ilm

chum lete hain farishte aa ke lab ustad ka

bas use paDhne-paDhane se hamesha kaam hai

kitna achchha mashghala hai roz-o-shab ustad ka

KHwah sari umr us ke panw dho dho kar piye

aadmi se haq ada hota hai kab ustad ka

imtihan mein hal na ho jis dam koi mushkil sawal

KHud pasandon ko pata chalta hai tab ustad ka

shukr ke jazbaat se gardan jhuka leta hun main

yaad aata hai mujhe ehsan jab ustad ka

kal zamane ki nigahon mein wo izzat paega

martaba pahchan jaega jo ab ustad ka

us ki aalamgir haisiyyat hai shahon ki tarah

kul ajam ustad ka hai kul arab ustad ka

chal rahe hain aaj duniya mein hazaron mahkame

sach agar puchho to hai ye 'faiz' sab ustad ka

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now