guftugu (Hind Pak dosti ke nam)
Interesting Fact
Ali Sardar Jafri was invited to join the Atal Bihari Vajpey's delegation to Lahore but had to decline on account of ill health. Jafri sent a set of 10 cassettes of Sarhad to Vajpayee to be gifted to poets and writers of Pakistan as a message of love and friendship. This nazm was part of the audio collection.
guftugū band na ho
baat se baat chale
sub.h tak shām-e-mulāqāt chale
ham pe hañstī huī ye tāroñ bharī raat chale
hoñ jo alfāz ke hāthoñ meñ haiñ sañg-e-dushnām
tanz chhalkā.e to chhalkāyā kare zahr ke jaam
tīkhī nazreñ hoñ tursh abrū-e-ḳhamdār raheñ
ban paḌe jaise bhī dil sīnoñ meñ bedār raheñ
bebasī harf ko zanjīr-ba-pā kar na sake
koī qātil ho magar qatl-e-navā kar na sake
sub.h tak Dhal ke koī harf-e-vafā aa.egā
ishq aa.egā ba-sad laġhzish-e-pā aa.egā
nazreñ jhuk jā.eñgī dil dhaḌke.eñge lab kāñpeñge
ḳhāmushī bosa-e-lab ban ke mahak jā.egī
sirf ġhunchoñ ke chaTakne kī sadā aa.egī
aur phir harf-o-navā kī na zarūrat hogī
chashm o abrū ke ishāroñ meñ mohabbat hogī
nafrat uTh jā.egī mehmān muravvat hogī
haath meñ haath liye saarā jahāñ saath liye
tohfa-e-dard liye pyaar kī sauġhāt liye
regzāroñ se adāvat ke guzar jā.eñge
ḳhuuñ ke dariyāoñ se ham paar utar jā.eñge
guftugū band na ho
baat se baat chale
sub.h tak shām-e-mulāqāt chale
ham pe hañstī huī ye tāroñ bharī raat chale
guftugu band na ho
baat se baat chale
subh tak sham-e-mulaqat chale
hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale
hon jo alfaz ke hathon mein hain sang-e-dushnam
tanz chhalkae to chhalkaya kare zahr ke jam
tikhi nazren hon tursh abru-e-KHamdar rahen
ban paDe jaise bhi dil sinon mein bedar rahen
bebasi harf ko zanjir-ba-pa kar na sake
koi qatil ho magar qatl-e-nawa kar na sake
subh tak Dhal ke koi harf-e-wafa aaega
ishq aaega ba-sad laghzish-e-pa aaega
nazren jhuk jaengi dil dhaDkeenge lab kanpenge
KHamushi bosa-e-lab ban ke mahak jaegi
sirf ghunchon ke chaTakne ki sada aaegi
aur phir harf-o-nawa ki na zarurat hogi
chashm o abru ke ishaaron mein mohabbat hogi
nafrat uTh jaegi mehman murawwat hogi
hath mein hath liye sara jahan sath liye
tohfa-e-dard liye pyar ki saughat liye
regzaron se adawat ke guzar jaenge
KHun ke dariyaon se hum par utar jaenge
guftugu band na ho
baat se baat chale
subh tak sham-e-mulaqat chale
hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.