Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu

hamārī pyārī zabān urdu

hamārī naġhmoñ jaan urdu

hasīn dilkash javān urdu

zabān vo dhul ke jis ko gañgā ke jal se pākīzgī milī hai

avadh ThanDī havā ke jhoñke se jis ke dil kalī khilī hai

jo sher-o-naġhma ke ḳhuld-zāroñ meñ aaj koyal kūktī hai

isī zabāñ meñ hamāre bachpan ne maaoñ se loriyāñ sunī haiñ

javān ho kar isī zabāñ meñ kahāniyāñ ishq ne kahī haiñ

isī zabāñ ko chamakte hīroñ se ilm jholiyāñ bharī haiñ

isī zabāñ se vatan ke hoñToñ ne na.ara-e-inqilāb paayā

isī se añgrez hukmarānoñ ne ḳhud-sarī javāb paayā

isī se merī javāñ tamannā ne shā.erī rabāb paayā

ye apne naġhmāt-e-pur-asar se diloñ ko bedār kar chukī hai

ye apne na.aroñ fauj se dushmanoñ pe yalġhār kar chukī hai

sitamgaroñ sitamgarī par hazār-hā vaar kar chukī hai

koī batāo vo kaun moḌ hai jahāñ ham jhijak ga.e haiñ

vo kaun razm-gāh hai jis meñ ahl-e-urdu dubak ga.e haiñ

vo ham nahīñ haiñ jo baḌh ke maidāñ meñ aa.e hoñ aur ThiThak ga.e haiñ

ye vo zabāñ hai ki jis ne zindāñ tīrgī meñ diye jalā.e

ye vo zabāñ hai ki jis ke sho.aloñ se jal ga.e phāñsiyoñ ke saa.e

farāz-e-dār-o-rasan se bhī ham ne sarfaroshī ke giit gaa.e

kahā hai kis ne ham apne piyāre vatan meñ bhī be-vatan raheñge

zabān chhin jā.egī hamāre dahan se ham be-suḳhan raheñge

ham aaj bhī kal tarah dil ke sitār par naġhma-zan raheñge

ye kaisī bād-e-bahār hai jis meñ shāḳh-e-urdu na phal sakegī

vo kaisā rū-e-nigār hogā na zulf jis par machal sakegī

hameñ vo āzādī chāhiye jis meñ dil miinā ubal sakegī

hameñ ye haq hai ham apnī ḳhāk-e-vatan meñ apnā chaman sajā.eñ

hamārī hai shāḳh-e-gul to phir kyuuñ na us pe ham āshiyāñ banā.eñ

ham apne andāz aur apnī zabāñ meñ apne giit gaa.eñ

kahāñ ho matvālo aao bazm-e-vatan meñ hai imtihāñ hamārā

zabān zindagī se vābasta aaj suud o ziyāñ hamārā

hamārī urdu rahegī baaqī agar hai hindostāñ hamārā

chale haiñ gañg-o-jaman vaadī meñ ham havā-e-bahār ban kar

himāliya se utar rahe haiñ tarāna-e-ābshār ban kar

ravāñ haiñ hindostāñ rag rag meñ ḳhuun surḳh dhaar ban kar

hamārī pyārī zabān urdu

hamārī naġhmoñ jaan urdu

hasīn, dilkash javān urdu

hamari pyari zaban urdu

hamari naghmon ki jaan urdu

hasin dilkash jawan urdu

zaban wo dhul ke jis ko ganga ke jal se pakizgi mili hai

awadh ki ThanDi hawa ke jhonke se jis ke dil ki kali khili hai

jo sher-o-naghma ke KHuld-zaron mein aaj koyal si kukti hai

isi zaban mein hamare bachpan ne maon se loriyan suni hain

jawan ho kar isi zaban mein kahaniyan ishq ne kahi hain

isi zaban ko chamakte hiron se ilm ki jholiyan bhari hain

isi zaban se watan ke honTon ne nara-e-inqilab paya

isi se angrez hukmaranon ne KHud-sari ka jawab paya

isi se meri jawan tamanna ne shaeri ka rabab paya

ye apne naghmat-e-pur-asar se dilon ko bedar kar chuki hai

ye apne naron ki fauj se dushmanon pe yalghaar kar chuki hai

sitamgaron ki sitamgari par hazar-ha war kar chuki hai

koi batao wo kaun sa moD hai jahan hum jhijak gae hain

wo kaun si razm-gah hai jis mein ahl-e-urdu dubak gae hain

wo hum nahin hain jo baDh ke maidan mein aae hon aur ThiThak gae hain

ye wo zaban hai ki jis ne zindan ki tirgi mein diye jalae

ye wo zaban hai ki jis ke shoalon se jal gae phansiyon ke sae

faraaz-e-dar-o-rasan se bhi hum ne sarfaroshi ke git gae

kaha hai kis ne hum apne piyare watan mein bhi be-watan rahenge

zaban chhin jaegi hamare dahan se hum be-suKHan rahenge

hum aaj bhi kal ki tarah dil ke sitar par naghma-zan rahenge

ye kaisi baad-e-bahaar hai jis mein shaKH-e-urdu na phal sakegi

wo kaisa ru-e-nigar hoga na zulf jis par machal sakegi

hamein wo aazadi chahiye jis mein dil ki mina ubal sakegi

hamein ye haq hai hum apni KHak-e-watan mein apna chaman sajaen

hamari hai shaKH-e-gul to phir kyun na us pe hum aashiyan banaen

hum apne andaz aur apni zaban mein apne git gaen

kahan ho matwalo aao bazm-e-watan mein hai imtihan hamara

zaban ki zindagi se wabasta aaj sud o ziyan hamara

hamari urdu rahegi baqi agar hai hindostan hamara

chale hain gang-o-jaman ki wadi mein hum hawa-e-bahaar ban kar

himaliya se utar rahe hain tarana-e-abshaar ban kar

rawan hain hindostan ki rag rag mein KHun ki surKH dhaar ban kar

hamari pyari zaban urdu

hamari naghmon ki jaan urdu

hasin, dilkash jawan urdu

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Source :
  • Book : Ek Khvab aur (Pg. 122)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now