aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aal-e-Raza Raza's Photo'

Aal-e-Raza Raza

1896 - 1978 | Karachi, Pakistan

Prominent poet who mastered the poetic idiom of Lucknow poetry.

Prominent poet who mastered the poetic idiom of Lucknow poetry.

Aal-e-Raza Raza

Ghazal 28

Sher-o-Shayari 9

ham ne be-intihā vafā kar ke

be-vafāoñ se intiqām liyā

hum ne be-intiha wafa kar ke

be-wafaon se intiqam liya

us bevafā se kar ke vafā mar-miTā 'razā'

ik qissa-e-tavīl ye iḳhtisār hai

us bewafa se kar ke wafa mar-miTa 'raza'

ek qissa-e-tawil ka ye iKHtisar hai

tum 'razā' ban ke musalmān jo kāfir rahe

tum se behtar hai vo kāfir jo musalmāñ na huā

tum 'raza' ban ke musalman jo kafir hi rahe

tum se behtar hai wo kafir jo musalman na hua

  • Share this

un ke sitam bhī kah nahīñ sakte kisī se ham

ghuT ghuT ke mar rahe haiñ ajab bebasī se ham

un ke sitam bhi kah nahin sakte kisi se hum

ghuT ghuT ke mar rahe hain ajab bebasi se hum

bandisheñ ishq meñ duniyā se nirālī dekheñ

dil taḌap jaa.e magar lab na hilā.e koī

bandishen ishq mein duniya se nirali dekhen

dil taDap jae magar lab na hilae koi

Article 1

 

BOOKS 8

 

Videos 3

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Other

Unknown

jo chaahte ho so kahte ho chup rahne kii lazzat kyaa jaano

Mehdi Hasan

More Poets From "Karachi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now