Aitbar Sajid
Ghazal 46
Nazm 2
Sher-o-Shayari 34
ab to ḳhud apnī zarūrat bhī nahīñ hai ham ko
vo bhī din the ki kabhī terī zarūrat ham the
ab to KHud apni zarurat bhi nahin hai hum ko
wo bhi din the ki kabhi teri zarurat hum the
-
Share this
- See Ghazal
ye barsoñ kā ta.alluq toḌ denā chāhte haiñ ham
ab apne aap ko bhī chhoḌ denā chāhte haiñ ham
ye barson ka talluq toD dena chahte hain hum
ab apne aap ko bhi chhoD dena chahte hain hum
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 4
Image Shayari 7
tire jaisaa meraa bhii haal thaa na sukuun thaa na qaraar thaa yahii umr thii mire ham-nashii.n ki kisii se mujh ko bhii pyaar thaa mai.n samajh rahaa huu.n tirii kasak tiraa meraa dard hai mushtarak isii Gam kaa tuu bhii asiir hai isii dukh kaa mai.n bhii shikaar thaa faqat ek dhun thii ki raat-din isii KHvaab-zaar me.n gum rahe.n vo suruur aisaa suruur thaa vo KHumaar aisaa KHumaar thaa kabhii lamha-bhar kii bhii guftuguu mirii us ke saath na ho sakii mujhe fursate.n nahii.n mil sakii.n vo havaa ke rath par savaar thaa ham ajiib tarz ke log the ki hamaare aur hii rog the mai.n KHizaa.n me.n us kaa thaa muntazir use intizaar-e-bahaar thaa use pa.Dh ke tum na samajh sake ki mirii kitaab ke ruup me.n ko.ii qarz thaa ka.ii saal kaa ka.ii rat-jago.n kaa udhaar thaa