Akbar Hyderabadi
Ghazal 22
Nazm 9
Sher-o-Shayari 21
aañkh meñ aañsū kā aur dil meñ lahū kā kaal hai
hai tamannā kā vahī jo zindagī kā haal hai
aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai
hai tamanna ka wahi jo zindagi ka haal hai
-
Share this
- See Ghazal
charāġh-e-rāhguzar laakh tābnāk sahī
jalā ke apnā diyā raushnī makān meñ lā
charagh-e-rahguzar lakh tabnak sahi
jala ke apna diya raushni makan mein la
-
Share this
- See Ghazal
laboñ par tabassum to āñkhoñ meñ aañsū thī dhuup ek pal meñ to ik pal meñ bārish
hameñ yaad hai bātoñ bātoñ meñ un kā hañsānā rulānā rulānā hañsānā
labon par tabassum to aankhon mein aansu thi dhup ek pal mein to ek pal mein barish
hamein yaad hai baaton baaton mein un ka hansana rulana rulana hansana
mushkil hī se kar letī hai duniyā use qubūl
aisī haqīqat jis meñ fasāna kam kam hotā hai
mushkil hi se kar leti hai duniya use qubul
aisi haqiqat jis mein fasana kam kam hota hai
-
Share this
- See Ghazal