Alamtaab Tishna
Ghazal 16
Sher-o-Shayari 15
visāl-e-yār kī ḳhvāhish meñ aksar
charāġh-e-shām se pahle jalā huuñ
visal-e-yar ki KHwahish mein aksar
charagh-e-sham se pahle jala hun
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
nafrat bhī usī se hai parastish bhī usī kī
is dil sā koī ham ne to kāfar nahīñ dekhā
nafrat bhi usi se hai parastish bhi usi ki
is dil sa koi hum ne to kafar nahin dekha
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ham apne ishq kī ab aur kyā shahādat deñ
hameñ hamāre raqīboñ ne mo'tabar jaanā
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den
hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
har daur meñ rahā yahī ā.īn-e-munsifī
jo sar na jhuk sake vo qalam kar diye ga.e
har daur mein raha yahi aain-e-munsifi
jo sar na jhuk sake wo qalam kar diye gae
- Add to favorites
-
Share this
is rāh-e-mohabbat meñ tū saath agar hotā
har gaam pe gul khilte ḳhushbū kā safar hotā
is rah-e-mohabbat mein tu sath agar hota
har gam pe gul khilte KHushbu ka safar hota
- Add to favorites
-
Share this