Asif Bilal
Ghazal 34
Nazm 5
Sher-o-Shayari 37
taraqqiyāt kī ye kaun sī ghaḌī hai jahāñ
sab apne aap meñ bāzār honā chāhte haiñ
taraqqiyat ki ye kaun si ghaDi hai jahan
sab apne aap mein bazar hona chahte hain
-
Share this
- See Ghazal
gaañv ke narm ravayyoñ meñ pale haiñ ham log
shahr meñ koī nigah-bān zarūrī hai miyāñ
ganw ke narm rawayyon mein pale hain hum log
shahr mein koi nigah-ban zaruri hai miyan
-
Share this
- See Ghazal
jaane lagtā huuñ to vo paañv pakaḌ letā hai
aur sitam ye hai ki siine se lagātā bhī nahīñ
jaane lagta hun to wo panw pakaD leta hai
aur sitam ye hai ki sine se lagata bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal