aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1976 | Guna, India
'mīr' 'ġhālib' yahīñ to rahte the
ham bhī dillī se dil lagā leñ kyā
'mir' 'ghaalib' yahin to rahte the
hum bhi dilli se dil laga len kya
bichhḌe the jis kī vaj.h se siitā se raam jī
maiñ us hiran ko rām-kahānī se khīñch luuñ
bichhDe the jis ki wajh se sita se ram ji
main us hiran ko ram-kahani se khinch lun
dard chehra pahan ke aayā thā
terā chehra thā so qubūl kiyā
dard chehra pahan ke aaya tha
tera chehra tha so qubul kiya
isī paanī meñ lāsheñ tairtī haiñ
isī paanī meñ patthar baiThte haiñ
isi pani mein lashen tairti hain
isi pani mein patthar baiThte hain
sab ko kāñToñ pe shak huā thā magar
zaḳhm ke ās-pās phuul mile
sab ko kanTon pe shak hua tha magar
zaKHm ke aas-pas phul mile
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books