aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bekal Utsahi's Photo'

Bekal Utsahi

1930 - 2016 | Balrampur, India

Leading popular poet who got the pseudonym Utsahi from Jawahar Lal Nehru, India's first prime Minister. Known for extensively using words of Awadhi language. Famous for his Nazm 'Ai Meri Jan-e-ghazal….'.

Leading popular poet who got the pseudonym Utsahi from Jawahar Lal Nehru, India's first prime Minister. Known for extensively using words of Awadhi language. Famous for his Nazm 'Ai Meri Jan-e-ghazal….'.

Bekal Utsahi

Ghazal 19

Nazm 7

Sher-o-Shayari 22

biich saḌak ik laash paḌī thī aur ye likkhā thā

bhuuk meñ zahrīlī roTī bhī mīThī lagtī hai

bich saDak ek lash paDi thi aur ye likkha tha

bhuk mein zahrili roTi bhi miThi lagti hai

  • Share this

vo the javāb ke sāhil pe muntazir lekin

samay naav meñ merā savāl Duub gayā

wo the jawab ke sahil pe muntazir lekin

samay ki naw mein mera sawal Dub gaya

  • Share this

ulajh rahe haiñ bahut log merī shohrat se

kisī ko yuuñ to koī mujh se iḳhtilāf na thā

ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se

kisi ko yun to koi mujh se iKHtilaf na tha

vo mere qatl mulzim hai log kahte haiñ

vo chhuT sake to mujhe bhī gavāh likh liije

wo mere qatl ka mulzim hai log kahte hain

wo chhuT sake to mujhe bhi gawah likh lije

yuuñ to ka.ī kitābeñ paḌhīñ zehn meñ magar

mahfūz ek saada varaq der tak rahā

yun to kai kitaben paDhin zehn mein magar

mahfuz ek sada waraq der tak raha

Doha 6

tum bin chāñd na dekh sakā TuuT ga.ī ummīd

bin darpan bin nain ke kaise manā.eñ eid

tum bin chand na dekh saka TuT gai ummid

bin darpan bin nain ke kaise manaen eid

  • Share this

paise bauchhār meñ log rahe hamdard

biit ga.ī barsāt jab mausam ho gayā sard

paise ki bauchhaar mein log rahe hamdard

bit gai barsat jab mausam ho gaya sard

  • Share this

amrit ras biin par zahr ke naġhme gaao

marham se muskān ke zaḳhmoñ ko uksāo

amrit ras ki bin par zahr ke naghme gao

marham se muskan ke zaKHmon ko uksao

  • Share this

train chalī to chal paḌe khetoñ ke sab jhaaḌ

bhaag rahe haiñ saath jañgal aur pahāḌ

train chali to chal paDe kheton ke sab jhaD

bhag rahe hain sath hi jangal aur pahaD

  • Share this

nashtar chāhe phuul se barf se māñge ḳhuun

dhuup khilā.e chāñd ko andhe qānūn

nashtar chahe phul se barf se mange KHun

dhup khilae chand ko andhe ka qanun

  • Share this

Geet 1

 

BOOKS 14

Videos 9

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Poet reciting own poetry

Bekal Utsahi

Bekal Utsahi

Geet hamare sab ke liye hain kya apna kya ghair kabira sabki

Bekal Utsahi

Naaz tha jisko tairaki par ganga ki tughyaani me

Bekal Utsahi

Patwar kagzi hai to panni ki naao hai

Bekal Utsahi

Tu nahi to kuch nahi makhlooq bhi khallaq bhi

Bekal Utsahi

jab kuucha-e-qaatil me.n ham laa.e ga.e ho.nge

Bekal Utsahi

More Poets From "Balrampur"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now