aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1960 | New York, USA
kartā rahā vo mujh pe sadā mehrbāniyāñ
kuchh aur DhūñDhtī rahī maiñ mehrbān meñ
karta raha wo mujh pe sada mehrbaniyan
kuchh aur DhunDhti rahi main mehrban mein
kisī ḳhayāl kī dastak kisī umiid kī lau
maiñ thak ke soī to phir se jagā diyā us ne
kisi KHayal ki dastak kisi umid ki lau
main thak ke soi to phir se jaga diya us ne
kisī kī jang laḌnī paḌ ga.ī hai
kisī ke faisle mahñge paḌe haiñ
kisi ki jang laDni paD gai hai
kisi ke faisle mahnge paDe hain
maiñ kisī ke saath huuñ aur vo kisī ke saath hai
ik musalsal hādisa ye zindagī ke saath hai
main kisi ke sath hun aur wo kisi ke sath hai
ek musalsal hadisa ye zindagi ke sath hai
vo aa.e to rang sañvarne lagte haiñ
jaise bichhḌā yaar bhī koī mausam hai
wo aae to rang sanwarne lagte hain
jaise bichhDa yar bhi koi mausam hai
Ladkiyan Adhoori Hain
1995
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books