Sher of Firdaus Gayavi
ilm kī ibtidā hai hañgāma
ilm kī intihā hai ḳhāmoshī
ilm ki ibtida hai hangama
ilm ki intiha hai KHamoshi
vahī jo detā hai duniyā ko uljhanoñ se najāt
kabhī kabhī vahī uljhan meñ Daal detā hai
wahi jo deta hai duniya ko uljhanon se najat
kabhi kabhi wahi uljhan mein Dal deta hai
tamām umr jo hañstā hī rah gayā yaaro
balā kā dard thā us shaḳhs kī kahānī meñ
tamam umr jo hansta hi rah gaya yaro
bala ka dard tha us shaKHs ki kahani mein
tum ko aanā hai to aa jaao isī aalam meñ
bigḌe hālāt ġharīboñ ke sañvarte haiñ kahīñ
tum ko aana hai to aa jao isi aalam mein
bigDe haalat gharibon ke sanwarte hain kahin
maiñ ek sañg huuñ mujh meñ haiñ sūrateñ pinhāñ
mujhe tarāshne aazar to sāmne aa.e
main ek sang hun mujh mein hain suraten pinhan
mujhe tarashne aazar to samne aae