aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
USA
yahāñ ham baiTh kar chaa.e ke ik cup ko taraste haiñ
vahāñ sab le ke biscuit cake ke ambār baiThe haiñ
yahan hum baiTh kar chae ke ek cup ko taraste hain
wahan sab le ke biscuit cake ke ambar baiThe hain
apnī shoḳhī se na baaz aa.e tum ab bhī 'hammād'
shaiḳh se pūchh liyā rāsta mai-ḳhāne kā
apni shoKHi se na baz aae tum ab bhi 'hammad'
shaiKH se puchh liya rasta mai-KHane ka
is kī har ek baat maiñ chupke se maan letā huuñ
jis ko ho jaan o dil aziiz us ke ḳhilāf jaa.e kyuuñ
is ki har ek baat main chupke se man leta hun
jis ko ho jaan o dil aziz us ke KHilaf jae kyun
saas aa jaa.e to kyuuñ ghar se chipak jaatī hai
ye muamma hai samajhne kā na samjhāne kā
sas aa jae to kyun ghar se chipak jati hai
ye muamma hai samajhne ka na samjhane ka
shab biitī chāñd bhī Duub chalā ab paañv dabānā band karo
uTTho jaldī aaTā gūñdho tumheñ nāshta nahīñ banānā kyā
shab biti chand bhi Dub chala ab panw dabana band karo
uTTho jaldi aaTa gundho tumhein nashta nahin banana kya
Shohar Nama
2014
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books