Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Inam-ul-Haq Javed's Photo'

Inam-ul-Haq Javed

1949 | Pakistan

Inam-ul-Haq Javed

Ghazal 3

 

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 10

suḳhan ke saare salīqe zabāñ meñ rakhtā hai

nahīñ aks nihāñ apnī haañ meñ rakkhā hai

suKHan ke sare saliqe zaban mein rakhta hai

nahin ka aks nihan apni han mein rakkha hai

  • Share this

vo degrē bajā.e mam le kar lauT aayā hai

milā thā dāḳhila jis ko samundar-pār college meñ

wo degree ki bajae mam le kar lauT aaya hai

mila tha daKHila jis ko samundar-par college mein

  • Share this

lekin kalām kījiye mujh se adab ke saath

naukar huuñ koī aap shauhar nahīñ huuñ maiñ

lekin kalam kijiye mujh se adab ke sath

naukar hun koi aap ka shauhar nahin hun main

  • Share this

tamām umr gañvā jise bhulāne meñ

vo nisf maazī qissa thā nisf haal thā

tamam umr ganwa di jise bhulane mein

wo nisf mazi ka qissa tha nisf haal ka tha

mirā matlab mahīne tak nahāne na ho fursat

to phir hafte ke hafte haath muñh dhonā zarūrī hai

mera matlab mahine tak nahane ki na ho fursat

to phir hafte ke hafte hath munh dhona zaruri hai

  • Share this

Mazahiya 12

BOOKS 100

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now