Iqbal Kaifi
Ghazal 10
Sher-o-Shayari 11
afsos mābadoñ meñ ḳhudā bechte haiñ log
ab ma.anī-e-sazā-o-jazā kuchh nahīñ rahā
afsos mabadon mein KHuda bechte hain log
ab mani-e-saza-o-jaza kuchh nahin raha
-
Share this
- See Ghazal
aTe hue haiñ faqīroñ ke pairahan 'kaifī'
jahāñ ne bhiik meñ miTTī bikher kar dī hai
aTe hue hain faqiron ke pairahan 'kaifi'
jahan ne bhik mein miTTi bikher kar di hai
-
Share this
- See Ghazal
ġhazal ke rañg meñ malbūs ho kar
rubāb-e-dard se āhañg niklā
ghazal ke rang mein malbus ho kar
rubab-e-dard se aahang nikla
-
Share this
- See Ghazal
guhar samjhā thā lekin sañg niklā
kisī kā zarf kitnā tañg niklā
guhar samjha tha lekin sang nikla
kisi ka zarf kitna tang nikla
-
Share this
- See Ghazal
mohabbatoñ ko bhī us ne ḳhatā qarār diyā
magar ye jurm hameñ baar baar karnā hai
mohabbaton ko bhi us ne KHata qarar diya
magar ye jurm hamein bar bar karna hai
-
Share this
- See Ghazal