Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ishq Aurangabadi

- 1780 | Aurangabad, India

Ishq Aurangabadi

Ghazal 40

Sher-o-Shayari 18

'ishq' raushan thā vahāñ dīda-e-āhū se charāġh

maiñ jo yak raat gayā qais ke kāshāne meñ

'ishq' raushan tha wahan dida-e-ahu se charagh

main jo yak raat gaya qais ke kashane mein

  • Share this

ā.īna kabhī qābil-e-dīdār na hove

gar ḳhaak ke saath us ko sarokār na hove

aaina kabhi qabil-e-didar na howe

gar KHak ke sath us ko sarokar na howe

ye but hirs-o-havā ke dil ke jab ka.aba meñ toḌūñgā

tumhārī sub.ha meñ kab shaiḳh-jī zunnār chhoḌūñgā

ye but hirs-o-hawa ke dil ke jab kaba mein toDunga

tumhaari subha mein kab shaiKH-ji zunnar chhoDunga

  • Share this

ne kyā dekhā nahīñ gul pareshāñ ahvāl

ġhuncha kyuuñ aiñThā huā rahtā hai zardār tarah

tu ne kya dekha nahin gul ka pareshan ahwal

ghuncha kyun ainTha hua rahta hai zardar ki tarah

  • Share this

mazā āb-e-baqā jān-e-jānāñ

tirā bosa liyā hove so jaane

maza aab-e-baqa ka jaan-e-jaanan

tera bosa liya howe so jaane

  • Share this

BOOKS 2

 

Recitation

Speak Now