Ishrat Qadri
Ghazal 17
Sher-o-Shayari 7
ik saaya sharmātā lajātā raah meñ tanhā chhoḌ gayā
maiñ parchhā.īñ DhūñD rahā huuñ TuuTī huī dīvāroñ par
ek saya sharmata lajata rah mein tanha chhoD gaya
main parchhain DhunD raha hun TuTi hui diwaron par
-
Share this
- See Ghazal
in añdheroñ se pare is shab-e-ġham se aage
ik na.ī sub.h bhī hai shām-e-alam se aage
in andheron se pare is shab-e-gham se aage
ek nai subh bhi hai sham-e-alam se aage
-
Share this
- See Ghazal
kaun dekhegā mujh meñ ab chehra
ā.īna thā bikhar gayā huuñ maiñ
kaun dekhega mujh mein ab chehra
aaina tha bikhar gaya hun main
-
Share this
- See Ghazal
yuuñ zindagī guzar rahī hai merī
jo un kī hai vahī ḳhushī hai merī
yun zindagi guzar rahi hai meri
jo un ki hai wahi KHushi hai meri
-
Share this
- See Ghazal
zāhirī shakl merī zinda hai
aur andar se mar gayā huuñ maiñ
zahiri shakl meri zinda hai
aur andar se mar gaya hun main
-
Share this
- See Ghazal