1930 - 1978 | Aligarh, India
phir ka.ī zaḳhm-e-dil mahak uTThe
phir kisī bevafā kī yaad aa.ī
phir kai zaKHm-e-dil mahak uTThe
phir kisi bewafa ki yaad aai
ab to aa jaao rasm-e-duniyā kī
maiñ ne dīvār bhī girā dī hai
ab to aa jao rasm-e-duniya ki
main ne diwar bhi gira di hai
haath phir baḌh rahā hai sū-e-jām
zindagī kī udāsiyoñ ko salām
hath phir baDh raha hai su-e-jam
zindagi ki udasiyon ko salam
agar sukūn se umr-e-azīz khonā ho
kisī kī chaah meñ ḳhud ko tabāh kar liije
agar sukun se umr-e-aziz khona ho
kisi ki chah mein KHud ko tabah kar lije
vahī be-vaj.h udāsī vahī be-nām ḳhalish
rāh-o-rasm-e-dil-e-nākām se jī Dartā hai
wahi be-wajh udasi wahi be-nam KHalish
rah-o-rasm-e-dil-e-nakaam se ji Darta hai
Awaz Na Do
1993
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online