Kaifi Azmi
Ghazal 21
Nazm 43
Sher-o-Shayari 22
ġhurbat kī ThanDī chhāñv meñ yaad aa.ī us kī dhuup
qadr-e-vatan huī hameñ tark-e-vatan ke baad
ghurbat ki ThanDi chhanw mein yaad aai us ki dhup
qadr-e-watan hui hamein tark-e-watan ke baad
-
Share this
- See Ghazal
kī hai koī hasīn ḳhatā har ḳhatā ke saath
thoḌā sā pyaar bhī mujhe de do sazā ke saath
TRANSLATION
Some beautiful mistake I always made, along with another,
Together with punishment, do grant me a bit of love, my dear.
Sagar Akbarabadi
ki hai koi hasin KHata har KHata ke sath
thoDa sa pyar bhi mujhe de do saza ke sath
TRANSLATION
Some beautiful mistake I always made, along with another,
Together with punishment, do grant me a bit of love, my dear.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
muddat ke ba.ad us ne jo kī lutf kī nigāh
jī ḳhush to ho gayā magar aañsū nikal paḌe
muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
ji KHush to ho gaya magar aansu nikal paDe
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 38
Image Shayari 16
ruuh bechain hai ik dil kii aziyyat kyaa hai dil hii sho.ala hai to ye soz-e-mohabbat kyaa hai vo mujhe bhuul ga.ii is kii shikaayat kyaa hai ra.nj to ye hai ki ro ro ke bhulaayaa hogaa vo kahaa.n aur kahaa.n kaahish-e-Gam, sozish-e-jaa.n us kii ra.ngiin nazar aur nuquush-e-hirmaa.n us kaa ehsaas-e-latiif aur shikast-e-armaa.n ta.ana-zan ek zamaana nazar aayaa hogaa jhuk ga.ii hogii javaa.n-saal uma.ngo.n kii jabii.n miT ga.ii hogii lalak, Duub gayaa hogaa yaqii.n chhaa gayaa hogaa dhu.aa.n, ghuum ga.ii hogii zamii.n apne pahle hii gharau.nde ko jo Dhaayaa hogaa dil ne aise bhii kuchh afsaane sunaa.e ho.nge ashk aa.nkho.n ne piye aur na bahaa.e ho.nge band kamre me.n jo KHat mere jalaa.e ho.nge ek ik harf jabii.n par ubhar aayaa hogaa us ne ghabraa ke nazar laakh bachaa.ii hogii miT ke ik naqsh ne sau shakl dikhaa.ii hogii mez se jab mirii tasviir haTaa.ii hogii har taraf mujh ko ta.Daptaa hu.aa paayaa hogaa be-mahal chhe.D pe jazbaat ubal aa.e ho.nge Gam pashemaan-e-tabassum me.n Dhal aa.e ho.nge naam par mere jab aa.nsuu nikal aa.e ho.nge sar na kaa.ndhe se sahelii ke uThaayaa hogaa zulf zid kar ke kisii ne jo haTaa.ii hogii ruuThe jalvo.n pe KHizaa.n aur bhii chhaa.ii hogii barq ashvo.n ne ka.ii din na giraa.ii hogii ra.ng chehre pe ka.ii roz na aayaa hogaa
roz ba.Dhtaa huu.n jahaa.n se aage phir vahii.n lauT ke aa jaataa huu.n baar-haa to.D chukaa huu.n jin ko unhii.n diivaaro.n se Takraataa huu.n roz baste hai.n ka.ii shahr na.e roz dhartii me.n samaa jaate hai.n zalzalo.n me.n thii zaraa sii garmii vo bhii ab roz hii aa jaate hai.n jism se ruuh talak ret hii ret na kahii.n dhuup na saaya na saraab kitne armaan hai.n kis sahraa me.n kaun rakhtaa hai mazaaro.n kaa hisaab nabz bujhtii bhii bha.Daktii bhii hai dil kaa ma.amuul hai ghabraanaa bhii raat andhere ne andhere se kahaa ek aadat hai jiye jaanaa bhii qaus ik rang kii hotii hai tuluu ek hii chaal bhii paimaane kii goshe goshe me.n kha.Dii hai masjid shakl kyaa ho ga.ii mai-KHaane kii ko.ii kahtaa thaa samundar huu.n mai.n aur mirii jeb me.n qatra bhii nahii.n KHairiyat apnii likhaa kartaa huu.n ab to taqdiir me.n KHatra bhii nahii.n apne haatho.n ko pa.Dhaa kartaa huu.n kabhii qur.aa.n kabhii giitaa kii tarah chand rekhaa.o.n me.n siimaa.o.n me.n zindagii qaid hai siitaa kii tarah raam kab lauTe.nge ma.aluum nahii.n kaash raavan hii ko.ii aa jaataa
apnii nazar me.n bhii to vo apnaa nahii.n rahaa chehre pe aadmii ke hai chehra cha.Dhaa hu.aa manzar thaa aa.nkh bhii thii tamannaa-e-diid bhii lekin kisii ne diid pe pahra biThaa diyaa aisaa kare.n ki saaraa samundar uchhal pa.De kab tak yuu.n sat.h-e-aab pe dekhe.nge bulbula barso.n se ik makaan me.n rahte hai.n saath saath lekin hamaare biich zamaano.n kaa faasla majma.a thaa DugDugii thii madaarii bhii thaa magar hairat hai phir bhii ko.ii tamaashaa nahii.n hu.aa aa.nkhe.n bujhii bujhii sii hai.n baazuu thake thake aise me.n ko.ii tiir chalaane kaa faa.eda vo be-kasii ki aa.nkh khulii thii mirii magar zauq-e-nazar pe jabr ne pahra biThaa diyaa