Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khalid Irfan's Photo'

Khalid Irfan

1958 | New York, USA

Prominent Pakistani poet of humour and satire, living in New York, USA.

Prominent Pakistani poet of humour and satire, living in New York, USA.

Khalid Irfan

Ghazal 15

Nazm 34

Sher-o-Shayari 12

maiñ ne bas itnā likhā i-love-you aur phir

us ne aage kar diyā thā gaal internet par

main ne bas itna hi likha i-lowe-you aur phir

us ne aage kar diya tha gal internet par

na hoñ paise to istiqbāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

kisī shā.er ko ḳhālī tāliyoñ se kuchh nahīñ hogā

na hon paise to istiqbaaliyon se kuchh nahin hoga

kisi shaer ko KHali taliyon se kuchh nahin hoga

  • Share this

bhuuk taḳhlīq talent baḌhā detī hai

peT ḳhālī ho to ham sher nayā kahte haiñ

bhuk taKHliq ka talent baDha deti hai

peT KHali ho to hum sher naya kahte hain

do chaar din se merī samā.at block thī

tum ne ġhazal paḌhī to mirā kaan khul gayā

do chaar din se meri samaat block thi

tum ne ghazal paDhi to mera kan khul gaya

kaisā ajiib aayā hai is saal bajaT

murġhī jo bajaT hai vahī daal bajaT

kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT

murghi ka jo bajaT hai wahi dal ka bajaT

Mazahiya Shayari 5

 

Qita 16

BOOKS 8

 

RELATED Poets

Recitation

Speak Now