Khumar Barabankavi
Ghazal 30
Sher-o-Shayari 42
vahī phir mujhe yaad aane lage haiñ
jinheñ bhūlne meñ zamāne lage haiñ
wahi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulne mein zamane lage hain
-
Share this
- See Ghazal
bhūle haiñ rafta rafta unheñ muddatoñ meñ ham
qistoñ meñ ḳhud-kushī kā mazā ham se pūchhiye
bhule hain rafta rafta unhen muddaton mein hum
qiston mein KHud-kushi ka maza hum se puchhiye
-
Share this
- See Ghazal
dushmanoñ se pyaar hotā jā.egā
dostoñ ko āzmāte jā.iye
dushmanon se pyar hota jaega
doston ko aazmate jaiye
-
Share this
- See Ghazal
ye kahnā thā un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne meñ mujh ko zamāne lage haiñ
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain
-
Share this
- See Ghazal
Naat 1
BOOKS 6
Image Shayari 12
jhunjhlaa.e hai.n lajaa.e hai.n phir muskuraa.e hai.n kis ehtimaam se unhe.n ham yaad aa.e hai.n dair-o-haram ke habs-kado.n ke sataa.e hai.n ham aaj mai-kade kii havaa khaane aa.e hai.n ab jaa ke aah karne ke aadaab aa.e hai.n duniyaa samajh rahii hai ki ham muskuraa.e hai.n guzre hai.n mai-kade se jo tauba ke baa'd ham kuchh duur aadatan bhii qadam la.Dkha.Daa.e hai.n ai josh-e-girya dekh na karnaa KHajil mujhe aa.nkhe.n mirii zaruur hai.n aa.nsuu paraa.e hai.n ai maut ai bahisht-e-sukuu.n aa KHush-aamdiid ham zindagii me.n pahle pahal muskuraa.e hai.n jitnii bhii mai-kade me.n hai saaqii pilaa de aaj ham tishna-kaam zohd ke sahraa se aa.e hai.n insaan jiite-jii kare.n tauba KHataa.o.n se majbuuriyo.n ne kitne farishte banaa.e hai.n samjhaate qabl-e-ishq to mumkin thaa bantii baat naaseh Gariib ab hame.n samjhaane aa.e hai.n ka.abe me.n KHairiyat to hai sab hazrat-e-'KHumaar' ye dair hai janaab yahaa.n kaise aa.e hai.n
mohabbat ko samajhnaa hai to naaseh KHud mohabbat kar kinaare se kabhii andaaza-e-tuufaa.n nahii.n hotaa
ye vafaa kii saKHt raahe.n ye tumhaare paa.nv naazuk na lo intiqaam mujh se mire saath saath chal ke