Makhmoor Saeedi
Ghazal 36
Nazm 8
Sher-o-Shayari 21
ab aa ga.e ho to Thahro ḳharāba-e-dil meñ
ye vo jagah hai jahāñ zindagī sañvartī hai
ab aa gae ho to Thahro KHaraba-e-dil mein
ye wo jagah hai jahan zindagi sanwarti hai
-
Share this
- See Ghazal
rāste shahr ke sab band hue haiñ tum par
ghar se nikaloge to 'maḳhmūr' kidhar jāoge
raste shahr ke sab band hue hain tum par
ghar se nikaloge to 'maKHmur' kidhar jaoge
-
Share this
- See Ghazal
zabāñ pe shukr o shikāyat ke sau fasāne haiñ
magar jo dil pe guzartī hai kyā kahā jaa.e
zaban pe shukr o shikayat ke sau fasane hain
magar jo dil pe guzarti hai kya kaha jae
-
Share this
- See Ghazal
Doha 6
BOOKS 339
Image Shayari 5
na.e na.e lafz shor karte ba.Dhe chale aa rahe hai.n fikr o KHayaal kii rahguzar aabaad ho rahii hai zabaa.n bahut sii puraanii had-bandiyo.n se aazaad ho rahii hai ka.ii fasaane jo an-kahe the ka.ii tasavvur jo be-zabaa.n the hazaar aalam nashaat o Gam ke jo pahle naa-qaabil-e-bayaa.n the vo dha.Dkane.n KHaamushii hii jin ke KHarosh-e-pinhaa.n kii tarjumaa.n thii vo naGmagii jo KHamoshiyo.n ke siyaah zindaa.n me.n par-fishaa.n thii use ab aaKHir khulii fazaa.o.n me.n izn-e-parvaaz mil gayaa hai ki ik nayaa rishta darmiyaan-e-KHayaal-o-aavaaz mil gayaa hai magar mujhe chup sii lag ga.ii hai na.e na.e lafz shor karte ba.Dhe chale aa rahe hai.n aur mai.n hujuum-e-pur-shor me.n akelaa puraane lafzo.n ko Dhuu.nDtaa huu.n ye dekhtaa huu.n jahaa.n jahaa.n kal puraane lafzo.n ne Daal rakkhe the apne Dere vahaa.n na.e lafz aa ke aabaad ho ga.e hai.n makaa.n agarche uja.D na paa.e makiin barbaad ho ga.e hai.n na.e na.e lafz shor karte ba.Dhe chale aa rahe hai.n lekin puraane lafzo.n kii paa.emaalii ne dam ba-KHud kar diyaa hai mujh ko kisii ne sochaa nahii.n hai shaayad magar mai.n aksar ye sochtaa huu.n puraane lafzo.n ke saath hii ik puraanii duniyaa bhii kho ga.ii hai KHaamoshiyo.n ke siyaah-zindaa.n me.n jaa ke ruu-posh ho ga.ii hai