aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Manzar Lakhnavi's Photo'

Manzar Lakhnavi

- 1965

Manzar Lakhnavi

Ghazal 21

Sher-o-Shayari 60

dard ho dil meñ to davā kiije

aur jo dil na ho to kyā kiije

dard ho dil mein to dawa kije

aur jo dil hi na ho to kya kije

ġham meñ kuchh ġham mashġhalā kiije

dard dard se davā kiije

gham mein kuchh gham ka mashghala kije

dard ki dard se dawa kije

tafrīq husn-o-ishq ke andāz meñ na ho

lafzoñ meñ farq ho magar āvāz meñ na ho

tafriq husn-o-ishq ke andaz mein na ho

lafzon mein farq ho magar aawaz mein na ho

  • Share this

ġhussa qātil na baḌhtā hai na kam hotā hai

ek sar hai ki vo har roz qalam hotā hai

ghussa qatil ka na baDhta hai na kam hota hai

ek sar hai ki wo har roz qalam hota hai

  • Share this

bahkī bahkī nigah-e-nāz ḳhudā ḳhair kare

husn meñ ishq ke andāz ḳhudā ḳhair kare

bahki bahki nigah-e-naz KHuda KHair kare

husn mein ishq ke andaz KHuda KHair kare

  • Share this

BOOKS 1

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now