Sher of Marghoob Ali
bhīgī miTTī kī mahak pyaas baḌhā detī hai
dard barsāt kī būñdoñ meñ basā kartā hai
bhigi miTTi ki mahak pyas baDha deti hai
dard barsat ki bundon mein basa karta hai
mujh ko barbād ḳhud hī honā thā
tum pe ilzām be-sabab aa.e
mujh ko barbaad KHud hi hona tha
tum pe ilzam be-sabab aae
sab mumkin thā pyaar mohabbat hañste chehre ḳhvāb-nagar
lekin ek anā ne kitne bhole din barbād kiye
sab mumkin tha pyar mohabbat hanste chehre KHwab-nagar
lekin ek ana ne kitne bhole din barbaad kiye
haqīqī chehra kahīñ par hameñ nahīñ miltā
sabhī ne chehre pe Daale haiñ maslahat ke naqāb
haqiqi chehra kahin par hamein nahin milta
sabhi ne chehre pe Dale hain maslahat ke naqab
bichhaḌ ke tujh se ajab haal ho gayā merā
tamām shahr parāyā dikhā.ī detā hai
bichhaD ke tujh se ajab haal ho gaya mera
tamam shahr paraya dikhai deta hai
kursī mez kitābeñ? bistar anjāne se takte haiñ
der se apne ghar jaa.eñ to sab kuchh yūñhī lagtā hai
kursi mez kitaben? bistar anjaane se takte hain
der se apne ghar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aisā na ho ki taaza havā ajnabī lage
kamre kā ek-ādh darīcha khulā bhī rakh
aisa na ho ki taza hawa ajnabi lage
kamre ka ek-adh daricha khula bhi rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vasl kā gul na sahī hijr kā kāñTā hī sahī
kuchh na kuchh to mirī vahshat kā sila de mujh ko
wasl ka gul na sahi hijr ka kanTa hi sahi
kuchh na kuchh to meri wahshat ka sila de mujh ko
maiñ us ko bhuul jā.ūñ raat ye māñgī duā maiñ ne
karūñ kyā maiñ agar merī duā vāpas palaT aa.e
main us ko bhul jaun raat ye mangi dua main ne
karun kya main agar meri dua wapas palaT aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hameñ to yaad bahut aayā mausam-e-gul meñ
vo surḳh phuul sā chehra khilā huā ab ke
hamein to yaad bahut aaya mausam-e-gul mein
wo surKH phul sa chehra khila hua ab ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raat paḌte hī har ik roz ubhar aatī hai
kis ke rone kī sadā zaat ke sannāTe meñ
raat paDte hi har ek roz ubhar aati hai
kis ke rone ki sada zat ke sannaTe mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download