Sher of Meer Khaleeq
misl-e-ā.īna hai us rashk-e-qamar kā pahlū
saaf idhar se nazar aatā hai udhar kā pahlū
misl-e-aina hai us rashk-e-qamar ka pahlu
saf idhar se nazar aata hai udhar ka pahlu
sar jhukā letā hai laala sharm se
jab jigar ke daaġh dikhlāte haiñ ham
sar jhuka leta hai lala sharm se
jab jigar ke dagh dikhlate hain hum
naza.a meñ gar mirī bālīñ pe tū aayā hotā
is tarah ashk maiñ āñkhoñ meñ na laayā hotā
naza mein gar meri baalin pe tu aaya hota
is tarah ashk main aankhon mein na laya hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġhaflat meñ farq apnī tujh bin kabhū na aayā
ham aap ke na aa.e jab tak ki tū na aayā
ghaflat mein farq apni tujh bin kabhu na aaya
hum aap ke na aae jab tak ki tu na aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download