Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Midhat-ul-Akhtar's Photo'

Midhat-ul-Akhtar

1945 | Aurangabad, India

Midhat-ul-Akhtar

Ghazal 30

Sher-o-Shayari 12

laa.ī hai kahāñ mujh ko tabī.at do-rañgī

duniyā talabgār bhī duniyā se ḳhafā bhī

lai hai kahan mujh ko tabiat ki do-rangi

duniya ka talabgar bhi duniya se KHafa bhi

jism us god meñ ho ruuh tere rū-ba-rū

fāhisha ke garm bistar par riyā-kārī karūñ

jism us ki god mein ho ruh tere ru-ba-ru

fahisha ke garm bistar par riya-kari karun

  • Share this

jaane vaale mujhe kuchh apnī nishānī de

ruuh pyāsī na rahe aañkh meñ paanī de

jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja

ruh pyasi na rahe aankh mein pani de ja

ḳhvāboñ tijārat meñ yahī ek kamī hai

chaltī hai dukāñ ḳhuub kamā.ī nahīñ detī

KHwabon ki tijarat mein yahi ek kami hai

chalti hai dukan KHub kamai nahin deti

tum mil ga.e to koī gila ab nahīñ rahā

maiñ apnī zindagī se ḳhafā ab nahīñ rahā

tum mil gae to koi gila ab nahin raha

main apni zindagi se KHafa ab nahin raha

BOOKS 5

 

RELATED Poets

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now