Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Mohammad Naazir Ali Naazir

Mohammad Naazir Ali Naazir

Sher-o-Shayari 8

asīrān-e-qafas par zulm to sayyād karte haiñ

ki un ke par katar lete haiñ tab āzād karte haiñ

asiran-e-qafas par zulm to sayyaad karte hain

ki un ke par katar lete hain tab aazad karte hain

  • Share this

ḳhudā shaan ki ham ko uThā ke mahfil se

raqīb baiThe haiñ zaanū tirā dabā.e hue

KHuda ki shan ki hum ko uTha ke mahfil se

raqib baiThe hain zanu tera dabae hue

  • Share this

kūcha-e-yār meñ jaane kabhī ḳhū na ga.ī

Thokareñ khā ke bhī sambhle na sambhalne vaale

kucha-e-yar mein jaane ki kabhi KHu na gai

Thokaren kha ke bhi sambhle na sambhalne wale

  • Share this

umañgoñ par hai ab un javānī

ḳhush aa.e kyuuñ na itrānā kisī

umangon par hai ab un ki jawani

KHush aae kyun na itrana kisi ka

  • Share this

sharar-e-nāla-e-bulbul se lagī un meñ aag

jo shajar baaġh meñ the phūlne phalne vaale

sharar-e-nala-e-bulbul se lagi un mein aag

jo shajar bagh mein the phulne phalne wale

  • Share this

BOOKS 2

 

Recitation

Speak Now